🔻Ibne Hajar Asqalani....farmate hai...k Imaame Husen ne bayaan kiya k....
Aik baar ( bachpan me ) Mein Faaruqe aazam k paas gaya to wo mimbar par khutba de rahe the to Mein mimbar par chadh gaya or kaha... K..
Mere baap k mimbar se utariye or apne baap k mimbar par jaaiye... Faruqe aazam ne farmaya... Mere baap ka mimbar nahi tha ye keh kar Muje pakad kar apne paas bitha liya..Mein apne paas padi hui kankariyon se khelta raha.
Jab aap mimbar se utre to Muje apne ghar le gaye fir mujse farmaya.. Kitna achcha ho agar kabhi kabhi Aap tashrif laate rahein...
Allahu akbar kahan shaane Faruqe aazam or Ye Tazime Ahlebait..
🔻Imaame Husen farmate hai... Aik din Mein un k paas gaya Hazrat Umar or Amir Muaawiya akele mein baatein kar rahe the...Hazrate Umar k bete Abdullah darwaze par khade the jab Abdullah waapas huwe to Mein bhi un k sath waapas ho gaya...
Baad me hazrat Umar se mulaaqaat hui to farmaya...Kya baat hai Mene Aapko dekha nahi ( matlab aate nahi ho..? )...to Mene arz ki...Mein aaya the Aap Amir Muaawiya k saath baaton me the isliye Mein Abdullah k saath waapas ho gaya...
Hazrat Umar ne farmaya... Aap Mere bete se zyaada haqdaar hai.. Hamare saron k baal Allah ne aapki barkat se ugaye hai...
.... Allahu akbar.....
...Radiyallahu Alayhim Ajmaiin
*📚AL SHARFUL MUAIYAD...*
*BARAKAATE AALE RASOOL...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:
Post a Comment