*TAAZIME AHLE BAIT...D* *```➡Post-23```*

🔻Siyedi Abdul wahhaab sheraani...alayhirrehmah...farmate hai...k..kaashiful bahirah...ne aik siyed ko mara to usi raat khwaab mein use Aaqa ki ziyaarat hui k Aaqa usse naaraaz hai..usne arz ki...Ya Rasulallaah Mera kya gunah hai..?
      Farmaya...Tu Muje maarta hai jab k Mein qayaamat k din tera Shafie hun...usne arz ki...muje yaad nahi k mene aapko maara ho...Aapne farmaya...Kya tune Meri awlaad ko nahi mara..?...usne arz ki...Haan...
       Farmaya... Teri zarb ( maar ) Meri kalaai par lagti hai...fir Aapne Apni kalaai khol kar dikhaai...jis par waram tha jayse shahad ki makkhi ne dank maara ho...
          ....ALLAHUAKBAR....


🔻Hazrat Shamsuddin...bayaan karte hai k...Aik din Qaazi jamaaluddin mahmood ajami ki khidmat me haazir huwa jo Qaherah k governor the wo apne khaadimon k saath siyed Abdur Rehman muazzin k ghar aaye or ijaazat maangi....jab wo baahar aaye to governer ko apne ghar dekh kar hairat zadah huwe...
       Governer ko andar le gaye or sab baith gaye governer saab ne siyed sahab se kaha k...Muje maaf kar dein...Siyedsaab hairat se bole k..kya maaf karun..?...Unhone kaha...kal raat me qile par gaya or baadshah k saamne beth gaya or aap aaye or mujse bhi unchi jaga par beth gaye....
       Mene apne dil me kaha...Ye baadsha ki mehfil mein mujse unche kyun beth gaye..?...
      Jab mein raat me soya to muje Huzur ka diidaar huwa...Aaqa ne farmaya... Mahmud tuje aeteraaz hai k tu meri awlaad se niiche bethe...?
      Ye sun kar siyedsaab ro pade....Or kaha Mein kahan aysa hun k Rasulullah muje yaad kare...

.....sallallahu alayhi wasallam.....
.....SUBHAANALLAAH.....

*📚BARAKAATE AALE RASOOL...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*



No comments:

Post a Comment

Our Social Sites