*_Sahabi Ke Naye Amal Ko Huzor Ne Rad Nahi Farmaya_*
*صحابی رسول کے نئے عمل کو حضور ﷺنے بدعت کہہ کر رد نہیں فرمایا*
_Hazrat imam Bukhari Hadees Naql Farmate Hain_
*حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن نعيم بن عبد الله المجمر، عن علي بن يحيى بن خلاد الزرقي، عن أبيه، عن رفاعة بن رافع الزرقي، قال: ” كنا يوما نصلي وراء النبي صلى الله عليه وسلم، فلما رفع رأسه من الركعة قال: سمع الله لمن حمده “، قال رجل وراءه: ربنا ولك الحمد حمدا كثيرا طيبا مباركا فيه، فلما انصرف، قال: «من المتكلم» قال: أنا، قال: «رأيت بضعة وثلاثين ملكا يبتدرونها أيهم يكتبها أول*
🔮 *“Hazrat Yahiya Se Riwayat Hai Ke Hazrat Rifaa Bin Raafe Zarqi ؓ Ne Farmaya Ek Roz Hum Nabi Karim ﷺ Ke Piche Namaz Padh rahe Thy Jab Huzoor ﷺ Ne Ruku Se Sar Utha Kar سمع الله لمن حمدهKaha Tu Piche Se Ek Aadmi Ne Kaha “ربنا ولك الحمد حمدا كثيرا طيبا مباركا فيه Aye Hamare Rab Aur Tere Hi Liye Tareef Hai Bahut Ziyada Tareef Pakiza Aur Barkat Wali “Jab Huzoor ﷺ Farigh Howe Tu Farmaya Ye Kalimat Kis Ne Kahe Us Shaks Ne Arz Ki Main Ne , Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ke Main 30 Se Ziyada Farishton Ko Jhapatte Howe Dekha Kon Uneeh Sabse Pehle Likhta Hai*
📚 *_Bukhari Shareef Kitab Ul Aaazan Hadees 799_*
🔰 *Bukhari Sahrif Ki is Hadees Se Pata Chalta Hai Ke Sahabi E Rasol Ne Jo Amal Kiya Tha Usko Huzoor ﷺ Ne Pehle Karne Ka Hukum Nahi Farmaya Tha Magar Phir Bhi Sahabi E Rasol Ke is Naye Amal Ko Huzoor ﷺ Ne Rad Nahi Farmaya Bakle Uski Fazilat Ye Bayan Farmai Ke Sahabi is Naye Amal Ko 30 Se Ziyada Farishte Likhne Ke Jaldi Kar Rahe Thy ,Pata Chala Ke Har Naya Kaam Gumrahiyat Nahi Hoti*
No comments:
Post a Comment