*【POST 03】*



*حضور ﷺ نے اُمت کو دین میں اچھے کام کی اجازت عطا فرمائی ہے*
_Huzoor ﷺ Ne Ummat Ko Deen Mein Ache Kaam Ki ijazat Aata ki Hai_

*_Hazrat imam Muslim Hadees Naql Farmate Hain Ke_*

*حَدَّثَنِي زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، حَدَّثَنَا جَرِيرُ بْنُ عَبْدِ الْحَمِيدِ، عَنِ الْأَعْمَشِ، عَنْ مُوسَى بْنِ عَبْدِ اللهِ بْنِ يَزِيدَ، وَأَبِي الضُّحَى، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ هِلَالٍ الْعَبْسِيِّ، عَنْ جَرِيرِ بْنِ عَبْدِ اللهِ، قَالَ: جَاءَ نَاسٌ مِنَ الْأَعْرَابِ إِلَى رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَلَيْهِمِ الصُّوفُ فَرَأَى سُوءَ حَالِهِمْ قَدْ أَصَابَتْهُمْ حَاجَةٌ، فَحَثَّ النَّاسَ عَلَى الصَّدَقَةِ، فَأَبْطَئُوا عَنْهُ حَتَّى رُئِيَ ذَلِكَ فِي وَجْهِهِ. قَالَ: ثُمَّ إِنَّ رَجُلًا مِنَ الْأَنْصَارِ جَاءَ بِصُرَّةٍ مِنْ وَرِقٍ، ثُمَّ جَاءَ آخَرُ، ثُمَّ تَتَابَعُوا حَتَّى عُرِفَ السُّرُورُ فِي وَجْهِهِ، فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ سَنَّ فِي الْإِسْلَامِ سُنَّةً حَسَنَةً، فَعُمِلَ بِهَا بَعْدَهُ، كُتِبَ لَهُ مِثْلُ أَجْرِ مَنْ عَمِلَ بِهَا، وَلَا يَنْقُصُ مِنْ أُجُورِهِمْ شَيْءٌ، وَمَنْ سَنَّ فِي الْإِسْلَامِ سُنَّةً سَيِّئَةً، فَعُمِلَ بِهَا بَعْدَهُ، كُتِبَ عَلَيْهِ مِثْلُ وِزْرِ مَنْ عَمِلَ بِهَا، وَلَا يَنْقُصُ مِنْ أَوْزَارِهِمْ شَيْءٌ*

🔮 *“Hazrat Jarir Bin Abdullahؓ Bayan karte Hain Ke Rasool Allah ﷺ ki Khidmat Mein uon Ke Kapde Pehne Howe Khuch Dihati Hazir Howe Aap ﷺ Ne Unki Bad Haali Aur Unki Zarorat Ko Dekha Phir Aap ﷺ Ne Logon Ko Sadqa Per Ubhara Logon Ne Khuch Dair Ki Jis Se Aap Ke Chehra e Anwar Per Naarzgi Ke Aasar Zahir Howe Phir Ek Ansari Dirhamo Ki Thaili Lekar Aaya Phir Dusra Aaya Phir Laane Walon Ka Ta,anta Bandh Gaya Hatta Ke Nabi Karim ﷺ Ke Chehre Per Khushi Ke Aasar Zahir Howe Tab Rasol Allah ﷺ Ne Farmaya Jis Shaks Ne Musalmano Mein Kisi Neak Tarike Ki ibteda Ki Aur Uske Baad Us Tarike Per Amal Kiya Gaya Tu Us Tarike Per Amal Karne Walon Ka Ajar Bhi Us Ke nama E Aamal ein Likha Jaye Ga Aur Amal Karne Walon Ke Ajar Mein Kami Nahi Hogi Aur Jis Shaks Ne Musalmano Mein Kisi Bure Tariqe Ki ibteda Ki Us Ke Baad Us Tariqe Per Amal Kiya Gaya Tu Us Tariqe Per Amal Karne Walon Ka Gunah Bhi Us Shaks Ke Nama E Aamal Mein Likha Jaye Ga Aur Amal Karne Walon Ke Gunah Mein Koi Kami Nahi Hogi …*

📚 *_Muslim Shareef Kitab Ul ilm Hadees 1017_*

🔰 *_Muslim Sharif Ki is Hadees Se Bhi Saaf Wazeeh Horaha Hai Ke Allah Ke Rasol Ne Ye Deen Mein Ache Kaam Karne Ki ijazat Farmai Hai Aur sirf ijazat Hi Nahi Balke Us Per Sawab Milne Ki Khushkhabri Bhi Di Hai Magar Najd Ke Andhe Shayatin Ko Ye Sab Ahadees Nazar nahi Aati Khuch nazar Aaata Hai tu Bas Qullu Bidat Zalala Nazar Aaata Hai._*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites