QIST 02

2⃣ *HUZOOR ﷺ KE WISAL KE BA'AD WASEELA KA SUBOOT  - TABRANI*

🔰 *Imam Tabrani Hadees Naqal Faramte Hain Ke:*

*حدثنا طاهر بن عيسى بن قيرس المصري المقرئ ثنا أصبغ بن الفرج ثنا ابن وهب عن أبي سعيد المكي عن روح بن القاسم عن أبي جعفر الخطمي المدني عن أبي أمامة بن سهل بن حنيف عن عمه عثمان بن حنيف : أن رجلا كان يختلف إلى عثمان بن عفان رضي الله عنه في حاجة له فكان عثمان لا يلتفت إليه ولا ينظر في حاجته فلقي ابن حنيف فشكى ذلك إليه فقال له عثمان بن حنيف : ائت الميضأة فتوضأ ثم ائت المسجد فصل فيه ركعتين ثم قل : اللهم إني أسألك وأتوجه إليك بنبينا محمد صلى الله عليه و سلم نبي الرحمة يا محمد إني أتوجه بك إلى ربي فتقضى لي حاجتي وتذكر حاجتك وروح حتى أروح معك فانطلق الرجل فصنع ما قال له ثم أتى باب عثمان بن عفان رضي الله عنه فجاء البواب حتى أخذ بيده فأدخله على عثمان بن عفان رضي الله عنه فأجلسه معه على الطنفسة فقال : حاجتك فذكر حاجته وقاضاها له ثم قال له : ما ذكرت حاجتك حتى كان الساعة وقال : ما كانت لك من حاجة فأذكرها ثم إن الرجل خرج من عنده فلقي عثمان بن حنيف فقال له : جزاك الله خيرا ما كان ينظر في حاجتي ولا يلتفت إلي حتى كلمته في فقال عثمان بن حنيف : والله ما كلمته ولكني شهدت رسول الله صلى الله عليه و سلم وأتاه ضرير فشكى إليه ذهاب بصره فقال له النبي صلى الله عليه و سلم : فتبصر فقال : يا رسول الله ليس لي قائد وقد شق علي فقال النبي صلى الله عليه و سلم : ائت الميضأة فتوضأ ثم صل ركعتين ثم ادع بهذه الدعوات قال ابن حنيف : فو الله ما تفرقنا وطال بن الحديث عن دخل علينا الرجل كأن لم يكن به ضر قط*

🔰 *“Ek Shaks Hazrat Usman رضي الله عنه Ke Paas Apni Kisi Haajat Ke Liye Jaata Lekin Hazrat Usman رضي_الله_عنه Uski Taraf iltefaat Na Farmate Tu Wo Hazrat Usman Bin Hanif رضي_الله_عنه Se Mila Aur Unse Shikayat Ki Tu Usko Hazrat Usman Bin Hanif رضي_الله_عنه Ne Farmaya Paani Lawo Aur Wazo karo Phir Masjid Jawo Aur Do Rakat Namaz Ada Karo Phir Ye Dua Maango “” Aur Apni Hajat Ko Bayan Karo Tum Chalo Main Bhi Tumhare Sath Chalta Hun Pas Aadmi Gaya  Aur Usne Aisa Hi Kiya Jaisa Ke Usko Kaha Gaya Tha Phir Wo Hazrat Usman Bin Affan رضي_الله_عنه Ke Darwaze Per Hazir Howa Pas Darban Aaya Aur Uska Hath Pakad Kar Hazrat Usman Ghani رضي_الله_عنه Ke Paas Le Gay Aur Hazrat Usman Ghani رضي_الله_عنه Ne Use Apni Jaga Takhat Per Bithay Aur Farmaya Teri Kiya Hajat Hai?*

*Usne Apni Hajat Bayan Ki Aur Aapne Uski Hajat Puri Farma Di Phir Farmaya Ke Mujhe Tera Kaam Yaad na Raha Magar Abhi Yaad Aaya Aur*

*Farmaya Teri Jo Bhi Hajat Ho usko Zikr Kar Phir Wo Aadmi Aapke Paas Se Nikla Aur Hazrat Usman Bin Hanif رضي الله عنه Se Mila Aur Unse Arz Guzar Howa Allah Aapko jazaye Khair Ata Farmaye Hazrat Usman Ghani رضي_الله_عنه Tu Meri Taraf Tawajo Hi Nahi Farmate Thy Hatta Ke Aapne is Baat Ki Tu Hazrat Usman Bin Hanif Se Farmaya Wallah Main Ne Tu Unse Koi Baat Nahi Ki Lekin Main Maujod Tha Ke Rasol Allah ﷺ Ke Paas Ek Nabina Aaya Aur Apni Binai Chale Jaane Ki Shikayat Ki Aap Ne farmaya Sabar Kar Tu Usne Arz Ki  Ya Rasool Allah ﷺ Mujhe Raasta Dikhane Wala Koi Nahi Hai Aur Mujhe Badi Taklif Ka Samna Hai Tu Huzoor ﷺ Ne irshad Farmaya Paani La Aur Wazo Kar Phir Do Rakat Namaz Padh Phir Ye Dua Maan Tu Hazrat Usman Bin Hanif رضي الله عنه Ne Farmaya Allah Ki Qasam Abhi Use Hum Se Gaye Aur Baat Kiye Ziyada Dair Nahi Howi Thi Ke Wo Shakhs Hamare Paas Aaaya Goya Ke Usse Koi Taklif Kabhi Thi Hi Nahi !*

📔 *Muajjam Tabrani Vol 9 page 17,18*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites