*【POST 02】Batni Ilm Ka Adna Darja*

_Arz:- Adna Darja E Ilm Ka Kya Hai?_


_*Irshad:- Hazrat Zulnun Misri Rehmatullah Farmate Hia Ke Maine Ek Bar Safar Kia Aur Wo Ilm Laya Jise Khawas Wa Awam Sab Ne Qabul Kia.*_


_Dubara Safar Kia Aur Wo Ilm Laya Jise Khaas Ne Qabul Kia, Awam Ne Na Mana. Yeh Bara (Tisri Bar) Safar Kia Aur Wo Ilm Laya Jo Khaas Wa Aam Kisi Ki Samj Me Na Aya._


_*Yaha Safar Se Sair E Iqdam (Yani Qadmo Se Chalna) Murad Nahi Balke Sair Qalb (Yani Ruhani Safar) Hai. Unke Uloomn Ki Halat Yeh Hai Aur Adna Darja Un Se Aitqaad, Un Par Aitmaad Wa Taslim. Irshad Jo Samj Me Aya Fabiha (Yani Thik) Warna*_


📖 *Tarjumah E Kanzul Imaan:*

_Sab Humare Rab (Azwajjal) Ke Pass Hai Aur Nasihat Nahi Mante Magar Aqal Wale._


_*Hazat Shaikh Akbar Wa Akbar E Fan (Rehmatullah Allay) Ne Farmaya Ke Adna Darja E Ilm E Batin Ka Yeh Hai Ke Alimo Ki Tasdiq Kare Ke Agar Na Janta To Unke Tasdiq Na Karta.*_


📗 _*Niz Hadees Me Farmaya Hai:-* Subah Kar Is Halaat Me Ke Tun Khud Alim Hai Ya Ilm Sikhta Hai Ya Alim Ki Batein Sunta Hai Ya Adna Darja Yeh Ke Alim Ki Sohbbat Rakhta Hai Aur 5va Na Hona Ke Halaak Ho Jayega._

📚 *[Kashf Ul Khafa Al Hadees 437 Jild 1 Safah 134]*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 36, 37.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites