*【POST 04】Duniawi Fikr O Kaa Qalb E Jaari Par Asar:*

_Arz:- Kya Duniawi Tafrukaat Ka Qalb E Jari Par Asar Hota Hai?_


_*Irshad:- Haan ! Dunia Ki Fikre Jari Qalb Ki Haalat Me Zaroor Farq Dalti Hai.*_


💫 *_Safar Konse Din Karna Chaiye ?_*💫


_Arz:- Safar Ke Liye Kon Kon Se Din Makhsus Hai?_

_*Irshad:- Pansaba Shamba Do Samha (Yani Jumehraat, Hafta Aur Peer) Hadees Sharif Me Hai Ba Roz E Shmaba(Yani Hafta) Qabl E Tulu E Aftaab (Yani Suraj Nikalne Se Pehle) Jo Kisi Hajat Ki Talab Me Nikle Uska Zamin Me Ho.*_



📚 *[Kanzul Imaan, Fasal Sals, Al Hadees 16808, Jild 2, Safah 221]*


_(Isi Silsila Taqrir Me Farmaya) Ba Hamd E Ta'la Dusre Bar Ki Hazri Harmain Taibain Me Yaha Se Jaane Aur Waha Se Wapas Aane Me Unhe Tin Din Me Ek Din Rawangi Hui Thi Aur Ba Ba Fazle Ta'la Faqir Ka Yaum E Wilaadat Bhi Shamba (Yani Hafta) Hai_


💫 *Syedna Sidiq E Akbar Ne Kis Umr Me Islam Qabul Kiya?*💫


_Arz:- Umar Sharif Hazrat Abubakar Sidiq Radiallahu Ta'la Anho Ki Qabul E Islam 

Ke Waqt Kya Thi?_


_*Irshad:- 38 Sal Aur Sawa E Ushmaan E Gani Radiallahu Ta'la Anho Ke Huzur Ki Umar Sharif 82 Sal Hui Har Sa (Yani Tino) Khulfa E Rashidin Rizwanullah Allay Azmain (Me Se Har Ek) Ki Umar Mubarak Niz Umar Sharif Hazrat E Ameer Muawiyah Radiallahu Ta'la Anho Huzur E Aqdas ﷺ Ki Umar Mubarak Ke Barbar Hi Yani 63 Sal. Agar Che Isme Kuch Roz Wa Mah Kam Wa Bais Zaroor Thi Sal E Wafaat Yahi Tha.*_


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 40,41*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites