_*Jab Se Khidmat E Aqdas Main Hazir Hue Kabhi Waqt Juda Na Hue. Yaha Tak Ke Bad E Wafaat Bhi Pehlu E Aqdas Me Aram Farma Hai. Ek Martaba Huzur Aqdas ﷺ Ne Dahine Dast E Aqdas Hazrat Sidiq Radiallahu Ta'la Ka Hath Liya Aur Baye Dast E Mubarak Me Hazrat Umar Radiallahu Ta'la Anho Ka Hath Liya Aur Farmaya :*_
📖 _*Tarjuma:-*
Hum Qayamat Ke Roz Yuhi Uthaye Jayege._
📖 _Jameh Tirmizi Kitab Ul Manaqib Bab Fi Manaqib Abibakar Imaam Ahl Sunnat Syedna Imaam Abul Hasan Ash'hari Quds Sira Farmate Hai: Abubakar Humesha Allah Ta'la Ki Nazar E Raza Se Manzur Rahe._
📚 *[Irshad Ul Bari Sharha Sahi Bukhari Jild 8, Safah 370]*
_Ibne Asakir Imaam Zohri Talmiz Anas Radiallahu Ta'la Anhum Se Rawi Sidiq (Radiallahu Ta'la Anho) Ke Fazail Se Ek Yeh Hai Ke Unhe Kabhi Allah (Azwajjal) Me Shak Na Huwa._
_*Imaam Abdul Wahab Sharaani Al Yaqiyat Wal Jawahir Me Farmate Hai. Huzur Aqdas ﷺ Ne Abubakar Radiallahu Ta'la Anho Se Farmaya "Kya Tumhe Us Dil Waal Din Yad Hai. Arz Ki‘Haan Yad Hai Aur Yeh Bhi Yad Hai Ke Us Din Sab Se Pehle Huzur ﷺ Ne "Bala" Farmaya Tha. Bal Hamla (Ar Garz) Sidiq E Akbar Radiallahu Ta'la Anho Roz Ul Ansat Se Roz E Wiladat Aur Roz E Wiladat Se Roz E Wafaat Aur Roz E Wafaat Se Abdul Abaad (Yani Humesa Humesha) Tak Sardar E Muslimin Hai.’*_
💫 *Hazrat Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ke Fazail Par Mushtmil Risala*💫
_*Yuhi Syedna Maulan Ali Karmullah Wz Ul Karim Is Bare Me Mera Ek Khass Risala Hai"Tanzihul Maknatil Haideryat An Wasamawati Ahdil Jaahiliyat*_
💫 *Dhobi Aur Tawaif Ke Ha Khana Khana Kaisa.*💫
_Istfta: Dhobi Ke Yaha 11vi Sharif Ka Khana Jaiz Hai Ya Nahi? Aur Fahsha (Yani Tawaif) Ke Yaha Khane Aur Us Se Qurana Azim Ki Tilawat Karne Ki Tankhwa Lene Ka Kya Hukm Hai?_
📖 _*Al Jawaab:- Dhobi Ke Yaha Khane Me Koi Harj Nahi. Yeh Jahilo Me Mash'hur Hai Ke Dhobi Ke Yaha Khana Napak Hai Mehaj Batil Hai. Han Fahsha Ke Yaha Khana Jaiz Nahi. Wo Tankhwa Agar Us Napak Amdani Se De To Wo Bhi Haram Qatai Aur Agar Uske Hath Koi Chiz Bechi Ho Aur Wo Apne Isi Maal Se De Uska Lena Qatai Haram, Albata Qarz Le Kar Qimat De To Jaiz Hai.*_
📖 *Wallahu Ta'la Alam.*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 44,45,46.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment