*【POST 25】Madine Ke Pani Ki Kya Baat Hai.*

*Maine Madina Taiba Se! Behtar Pani Kahi Na Paya. Khudam Karam Hazirin Bargah Ke Liye Zor Qu (Yani Pyalo) Me Pani Bhar Kar Rakhte Hai, Garmi Ke Mausam Me Us Shehar Karim Ki Thhhandi Nasime Itna Sarda Kar Deti Hai Ke Bilkul Harf Malum Hota Hai. Umada Pani Ki Tin Sifatein Hia Aur Wo Tino Is Me Ala Darja Par Hai : Ek Sifat Yeh Halka Ho Aur Wo Pani Is Qadr Halka Hai Ke Pite Waqt Halq Me Uski Thhandak To Mehsoos Hoti Hai Aur Kuch Nai Agar Khuski Na Ho To Uska Utarna Bilkulm Malum Na Ho, Dusri Sifat Sherni (Mithhas) Wo Pani Ala Darja Ka Shiri Hai.*


_Esa Shiri Maine Kahi Na Paya. Tisri Khuski, Yeh Bhi Isme Ala Darja Par Hai. Meri Adat Hai Ke Khana Khate Me Pani Pita Hu. Khana Makan Par Khaya Jaye Aur Wo Jafza Pani Masjid Karim Me, Lihaja Khana Khate Me Pani Na Pita. Khane Ke Bad Masjid Karim Me Ba Niyat Aitkaaf Hazir Hota Aur Us Atiya Sarkari Se Dil O Jaan Seraab Karta, Aitkaf To Har Masjid Ki Hazri Me Humesha Hota Hia Hai. Paani Ke Liye Aitkaaf Na Hota Tha Balke Uski Munfa'at (Yani Fayda) Yeh Hai Ke Gair Mu'atkif Ko Masjid Me Khana Pina Jaiz Nahi._


💫 *Khaane Pine Ke Liye Aitkaaf Karna Kaisa.*💫


📍 _*Arz:-* Khane Pine Ke Liye Aitkaaf Jiaz Hai?_


📌 *Irshad:- Aitkaaf Sirf Zikr E Illahi Azwajjal Ke Liye Kia Jaye, Bil Tabah Uske 

Manafih Aur Ho Sakte Hai Maslan Roze Ke Bare Me Hadees Hai:*


▶️ *Roza Rakho Tandurasat Ho Jauge.*


💎 _To Yeh Nahi Ho Skata Ke Roza Tandurasti Ki Niyat Se Rakha Jaye, Balke Roza Allah Ta'la Ke Liye Hoga Aur Tandurasti Ki Munf'at Use Se Tab'an Hasil Hogi *Phir Hadees Me Farmaya :*_


▶️ *Hajj Karo Gani Ho Jauge.*


💎 _To Yeh Nahi Ke Hajj Mal Ki Niyat Se Kiya Jaye Balke Hajj Allah Ta'la Ke Liye Hoga, Aur Yeh Nafah Bhi Milega Zimanan Milega To Jis Tarah Yeh Dono Allah Hi Ke Liye Hai Aur Sehat Wa Gana In Ke Zamni Munfaha Isi Tarah Aitkaaf Allah Ta'la Ke Liye Hoga Aur Khane Pine Ka Jawz Nafah Baltabah. Fatwa Alamgiri Wagera Me Hai Agar Masjid Me Sona Chaiye Aitkaaf Ki Niyaat Karle Kuch Der Zikr E Illahi Azwajjal Me Mashgul Rahe Phir Jo Chahe Kare._

📚 *[Fatwa E Hindiyah]*

*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 79,80.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites