✨ *Ek Ilmi Muzakara*✨
📌 *Maulif :- Tahfa Hanifyah Ki Jild Paish Nazar Thi, Isme Yeh Mukalma Mila. Khayal Huwa Ke Ise Bhi Mulfuzat Me Shamil Kar Lia Jaye Ke Nihayat Mufid Aur Nazrin Ki Dilchasp Bais Hai. 25 Jamadi Ul Ula Roz Panjshmba Hizri 1316 Ko Waqt E Chasht Janaab Molvi Syed Mohammad Shah Sahab Sadr E Dum Nadwa Ibne Molvi Syed Husain Shah Mohdeesh E Rampuri Mah Girami Janaab Syed Nausa Miya Sahab Wa Janaab Molvi Syed Mohammad Nabi Sahab Mukhtar Wa Janaab Tasdiq Ali Sahab Wakil. Sahib E Hujjat E Qahira (Mazbut Dalilo Wale), Mujdeed Emah Haziri (Maujuda Sadi Ke Mujadeed) Hami E Ahl Sunnat Ala Hazrat Qibla Damatbarkthum Ke Yaha Aaye Aur Der Tak Aye Aur Ek Nafis Jalsa Dalksha Muzakara Ilmi Kar Raha.*
💎 _Miya Sahab Se Murad Janaab *Sadru Dum Nadwa* Hai. Jo Alfaaz Wa Khat Halali Ke Andar (Yani Main) Hun Wo *Faqir Mahrare Sutur (Khud Mufti E Azam Hind
Rehamtullah Allay)* Ke Hai._
✨ *Miyan Sahab:* _(Bad E Salam Wa Musafa Wa Bahmi Guftgu E Mijaz Pursi) Main Hasan E Shah Mohdeesh Ka Beta Hun._
📌 *Irshad: Janaab Main Unke Fazail Se Waqif Hu Aur Aap Se Bhi Ek Bar Niyaz Hasil Huwa Tha.*
💎 _*Miyah Sahab:* Main Bil Qasad Ek Bat Aap Se Guzarish Karne Ko Aya Hun Agar Che Aap Ki Tabiyat Alil Hai. Apko Taklif Zaroor Hogi Magar Baat Zaroori Hai Aur
Isme Aap Ki Ray Dariyafat Karni Hai._
📌 *Irshad: Main Hazir Hu Jo Faham E Qasir Me Aye Use Guzarish Bhi Karuga ,
Agar Che Bimari Ki Raye Bhi Bimar Hoti Hai.)*
💎 _*Miyah Sahab:* Meri Raye Yeh Hai Ke Kisi Ko Bura Na Kahna Chaiye Isliye Ke Saib Ne Kaha Hai._
📖 *[Tarjumah : Aey Sa'ib Gali Galoch Se Apna Muh Aluda Na Kar Kyon Ke Jise Tu Bura Kahega Uske Dil Se Bhi Wahi Sada Nikalegi.]*
_Risala Miyan Sahab Ke Pass Pohch Chuka Tha, Yeh Nasiyat Is Bin Apar Thi._
📌 *Irshad: Boht Baja (Durusat) Farmaya. Jahan Ikhtlafat Fariyah Ho Jaise Baham Hanfiyah Wa Shafaiyah Wagera Hum Firaq E Ahl Sunnat (Ani Ahl Sunnat Ke Giro Ho) Main Waha Hargiz Ek Dusre Ko Bura Kahna Jaiz Nahi Aur Fahsh Wa Shanaam (Yani Gali Galoch) Jis Se Dahan (Muh) Aluga Ho Kisi Ko Bhi Na Chaiye.*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 99.100*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment