*【POST 42】SASTA SAUDA.*💫

✨ _Syedna Abubakar Shibli Radiallahu Ta'la Anho Ko 100 Ashrafiyah Mili. Kinara Par Ek Sahab Khat Banwa Rahe They, Unko Diye Qabul Na Kiye. Hajaam Ko Diye (Usne) Kaha : Maine Inka Khat Allah Azwajjal Ke Liye Banana Chaha Hai Is Par Auz (Badla) Na Luga. "Shibli Radiallahu Ta'la Anho Ne Us Maal Se Farmaya Ke Tu Esi Hi Chiz Hai Jise Koi Qabul Nahi Karta Aur Dariyah Me Phenk De._


📌 *Jahil Gumaan Karega Ke Tazih Maal Hui (Maal Zayda Huwa) Hasha (Hargiz Nahi) Balke Hifz E Qalb" Ke Us Waqt Yahi Iska Zariyah Tha. Do Sahab Jab Samne They Kisi Ne Qabul Na Kiye Unko Paas Rakhte Aur Ese Faqir Ki Talash Me Nikalte Jo Qabul Kar Leta Aur Masiyat (Gunah) Main Na Uthhata, Itni Der Tak Ki Zindagi Par Tum Logo Ko Itminaan Hota Hai Wahan Har Aan Maut Paish E Nazar Hai Aur Darte Hai Ke Us Waqt Aa Jaye Aur Is Gair E Khuda Ka Khatra (Khayal) Qalb Me Ho. Jungle Me Phenk Dete To Nafs Ka Taluq Qatah Na Hota Ke Abhi Dastras (Pohach Baqi) Rahti. Ab Bataye Siwa Is Ke Unke Pass Kya Chara (Rasta) Tha Ke Us (Mal) Se Fauran Fauran Is Tarah Hath Khali Kar Le Ke Nafs Ko Yaas (Mayusi) Ho Jaye Aur Uske Khayal Se Baz Aa Jaye. Yeh Sifaat E Qlb Wa Dafh E Khara Wagera ( Yani Dil Ki Safai Aur Us Se Gair E Khuda Ka Khayal Nikalne) Ki Daulat, Karodo Ashrafiyon Balke Tamam Hift Ul Qalim (Dunia) Ki Saltnat Se Karodo Darja Ala Wa Afzal Hai. Kya Agar So Ashrafiyah Kharch Karke Saltnat Mili, Koi Use Tazih E Maal (Mal Ka Zayah Karna) Kah Sakta Hai? Balke Badi Daulat Ka Boht Arza (Sasta) Hasil Karna, Yahi Yaha Hai.*

Wahdtul Wujud Ke Ma'ni


✨ _*Arz:* Wahdtul Wujud Ke Kya Ma'ni Hai?_

📌 *Irshad: Wujud E Hasti Bil Zaat, Wajib Ta'la Ke Liye Hai, Uske Siwa Jitni Maujudat Hai Uski Zal Par Taw (Aks) Hai To Haqiqatan Wujud Ek Hi Thhehara.*


✨ _*Arz:* Iska Samjana Kuch Dushawar Nahi Phir Yeh Masla Is Qadr Kyon Mushkil Mash'hur Hai?_

📌 *Irshad: Isme Gaur Wa Ta'amul Ya Maujab E Hairat (Hairan Kun) Hai Ya Bais E 

Zalalat (Gumrahi Ka Sabab). Agar Uski Thhodi Bhi Tafsil Karo To Kuch Samaj Me Na Ayega Balke Awhaam Kashira (Yani Kashir Waham) Paida Ho Jayege.*


✨ _iske Bad Kuch Mishalein Bayan Farmayi ,Un Me Se Ek Yad Rahi) Maslan Roshani Bal Zat (Bila Wasta) Aftaab Wa Chiraag Me Hai, Zamin Wa Makaan_

📌 *Apni Zaat Me Benoor Hai Magar Bil Arz (Bil Wasta) Aftaab (Suraj) Ki Wajh Se Tamaam Dunia Munwar Aur Charag Se Sara Ghar Roshan Hota Hai. In (Zamin Wa Maka) Ki Roshni Unhi (Aftaab Wa Chirag) Ki Roshni Hai. Un (Aftaab Wa 

Chiraag) Ki Roshni In (Zamin Wa Maakan) Se Uthha Li Jaye To Wo Abhi Tarik Mehaz Rah Jaye.*

_Har Ja Tu Hi Tu_


✨ _*Arz:-* Yeh Kyon Kar Hota Hai Ke Har Jagah Tu Hi Sahib E Martaba Ko Allah Hi Allah Nazar Ata Hai?_

📌 *Irshad: Iski Mishaal Yun Samje Ke Jo Shakhs Aina Khana Me Jaye Wo Har Taraf Apne Hi Ko Dekhega, Isliye Ke Yahi Asal Hai Aur Jiti Suratein Hai Sab Usi Ke Zal (Aks) Hai Magar Yeh Suratein Uski Sifaat E Zaat Ke Sath Mutsif (Mausuf) Na Hogi Maslan Sunane Wali Dekhne Wali Wagera Wagera Na Hogi. Isliye Ke Yeh Suratein Surf Uski Satah E Zahiri (Jism Ke Zahiri Hise) Ki Zal (Aks) Hai, Zaat Ki Nahi Aur Samh Basir (Sunana Aur Dekhna) Zaat Ki Sifatein Hai Satah Zahir Ki Nahi Lehaja Jo Asar Zaat Ka Hai Wo Un Zilaal (Akso) Me Paida Hoga Bakhilaaf Hazraat E Insan Ke Yeh Zal E Zat E Bari Ta'la Hai Lehaja Sifaat Se Bhi Hasb E Iste'dad (Baqadr E Salahiyat) Behrawar (Fazilat) Hai.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 113,114,115.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites