📌 *Maulif:- Huzur Yeh Ab Bhi Samj Nahi Aya Ke Wo Har Jagah Khuda Ko Kyon Kar Dekhte Hai, Agar Un Zilaal Wo Ukus Ko Kaha Jaye To Yeh Itehad Hai Wahdat Nahi Aur Itehad Hai Wahadat Nahi Aur Itehad Khula Ilhaad Wa Zandqa (Yani Kufr Wa Wa Bedeeni) Hai Aur Agar Yeh Zalaal Wa Akus Ko Nahi Dekhte Balke Unhe Adm Mehaz Me Sulate Hai Ek Allah (Azwajjal) Ka Jalwa Nazar Ata Hai. To Yeh Khud Bhi Ek Zal Hia Yeh Bhi Mu'dam Hue To Na Nazir (Yani Dekhne Wala) Raha Na Nazar, Phir Yeh Ke Allah Ta'la Ko Dekhne Ke Ma'na?*
✨ _Wo Is Se Paak Hai Ke Kisi Ki Nazar Use Ahata Kare Wo Sab Ko Muhit Hai Na Ke Muhaat (Wo Har Chiz Ka Ihata Kiye Hhue Magar Uska Ihata Nahi Kar Sakta) Yeh Meraa Imaan Hai Ke Qayamat Me In Sha Allah Ta'la Deedar E Illahi (Azwajjal) Se Hum Musalman Faiziyab Hoge, Magar Yeh Nahi Samj Sakta Ke Ruhiyat (Dekhna) Kyon Kar Mumiin Hai Jabke Ihata Namumkin. Agar Yeh Kaha Jaye Ke Manzur (Jise Dekha Jaye) Ko Nazar Ka Muhit Ho Jana Kuch Zaroor Nahi Maslan Falak (Asman) Hai Ke Uska Ek Hisa Insan Ki Nazar Me Sama Sakta Hai Jaha Tak Uski Nazar Pohchti Hai To Yeh Taqrir Waja Jari Nahi Ke Wo Tajzi (Taqsim) Se Paak Hai. Main Apna Ma Fi Zamin (Dil Ki Baat) Achi Tarah Zahir Na Kar Saka Magar Yeh Janta Hun Ke Huzur Mere In Toote Phute Alfaaz Se Mera Matlab Khayal Farma Lege._
📌 *Irshad:- Zalalt O Akso Miraat E Mulahiza Hai, Miraat Ka Ma'ri (Nazar Ane Wali Chiz) Se Muthid Hona Kya Zaroor ! Ilm Ba Lauja Main Wajh Miraat Mulija Hoti Hai, Halake Zulwaja Se Muthid Nahi Bilashuba Aina Me Jo Apni Surat Dekhte
Ho Kya Usme Koi Surat Hai?*
✨ _Nahi Balke Shayai Aina Par Tad Kar Wapas Ati Hai Aur Us Ruju Me Apne Aapko Dekhti Hai. Lihaja Dahini Janib Baye Aur Bayi Dahni Malum Hoti Hai To Aaina
Tumhara Ain Nahi Magar Dikhaya Usne Tumhi Ko. Zalaal Apni Zaat Me Mu'adam Hai Ke Kisi Ki Zaat Muqtzai Wajud Nahi (Wujud Ka Taqaza Nahi Karti)_
📖 _*Tarjuma:* Har Chiz Faani Hai Siwa Uski Zaat Ke._
*Magar Wujud E Atai Se Zaroor Maujud Hai Islam Ka Pehla Aqeedah Hai Ke*
📖 *Tarjumah : Ishya Ki Haqiqat Sabit Hai.*
_Sharah Aqaid E Nashfiyah_
📌 *Nazar Se Saqit (Unjal) Hona Waqh Se Adam Nahi Ke Na Nazir Hai Na Nazar. Fi Alwaqh (Dar Haqiqat) Is Mushahida Me Khud Apni Zaat Bhi Unki Nigah Me Nahi Hoti. Ahl Sunant Ka Imaan Hia Ke Qayamat Wa Jannat Me Musalmano Ko Deedar E Illahi (Azwajjal) Bekaif Wa Bejahat Wa Be Muhazat (Yani Kaifiyat Wa Simat Wa Muqable Ke Bagair) Hoga.*
📖 _*Tarjumah :* Kuch Muh Tar O Taza Hoge Apne Rab (Azwajjal) Ko Dekhte Hue._
📍 *Kufaar Ke Haq Me Farmata Hai :*
_Beshak Wo Us Din Apne Rab (Azwajjal) Se Hijaab Me Rahege_
📚 *[Surah Mutfifin Ayat 15]*
✨ _Yeh Kafiro Par Azaab Bayan Farmaya Gaya Hai To Zaroor Musalmaan Is Se
Mehfuz Hai, Basr Ihata Ma'ri Nahi Chahti. Aya E Karima_
📖 _*Tarjumah:* Aankhe Use Ihata Nahi Karti Aur Sab Aankhe Uske Ihadata Me Hai._
*Ka Yahi Mafaad (Fayda) Hai Ke Wo Absaar Wa Jumla Ka Muhit Hai Use Basar
Aur Koi Shay Muit Nahi. Falak Wagera Ki Mishalein Is Ke Bayan Ko Hai Ke Basar Ko Ihata Lazim Nahi, Na Yeh Ke Waha Bhi Adam E Ihata Mazallah Isi Tarah Ka Hai Waha Ba'mani Adam E Itraak E Haqiqat Wa Kuna Hi Raha. Yeh Ke "Ruhiyat Kyon Kar" Yeh Kaif Se Sawal Hai Wo Aur Uski Ruhiyat Kaif Se Pak Hai Phir Kyon Kar Ko Kya Dakhal.*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 115,116,117,118.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment