*【POST 44】Mazhar E Haq*💫

✨ _*Arz:-* Zaat E Bari Ke Parto Tausirf Huzur Syed Alam ﷺ Hai. Chunache Shaikh Mohdeesh Rehamtullah Allay "Madrij Ul Nabuwat " Jald Shani Ke Khatma Me Farmate Hai Ke Ambiyah Allaysallam Mazhar E Sifaat E Illahiyah Hai Aur Aam Makhluq Mazhar E Isma E Illahiyah Hai._

📌 *(Yani Huzur Syed Alam ﷺ Zaat E Haq Ke Mazhar Hai Aur Zahoor E Haq Me 

Bilazaat Hai.)*


💫 *Madrij Ul Nabuwat*💫


✨ _*Arz: :* To Tamaam Makhluq Zalaal E Zaat Kis Tarah Hogi?_

📌 *Irshad:Asma E Muzhar Sifaat Hai Aur Sifaat E Zaat Aur Mazhar Ka Mazhar Mazhar Hai Tosab Khalq Muzhar Zaat Hai Agar Che Bawasta Ya Bu Wasta. 

Shaikh Ka Kalaam Mazhar E Zaat Bala Wasta Me Hai Wo Nahi Magar Huzur Mazhar E Awal ﷺ Unke Lafaz Dekhe Ke*

✨ _(Yani Huzur Jaan E Alam ﷺ Bila Wasta Mazhar E Haq Hai.)_


💫 *Sulah Karwane Wale Ka Muhawaza Lena Najaiz Hai*💫


✨ _*Arz: :* Do Shakhso Me Kuch Rupaiya Ka Jagda Tha, Chodhri Ne Sulah Kara Di Aur Mudai (Yani Dawa Karne Wale) Ko Mada'ai Aly(Yani Jis Ke Khilaaf Dawa Kia) Se Rupe Mil Gaye Aur Bradari Me Yeh Dastur Hai Ke Jab Chodhri Tasfiyah Karta Hai Apna Kuch Haq Muqrar Kar Rakha Hai Wo Le Leta Hai Chuna Che Is Sulah Me Bhi Chodhri Apne Haq Ka Taalib Huwa, Us (Mudai) Ne Dene Se Inkaar Kia. Jab Us (Yani Chodhri) Ne Israr Kia To Us (Mudai) Ne Sab Rupe Chodhri Ko De Diye. Chodhri Ne Kaha Me Sirf Apna Haq Luga Sab Na Luga. Usne Kaha : "Main Khushi Se Deta Hun" Chodhri Ne Wo Sab Rupe Le Liye. Bad Is Waqiah Ke Mudai Ne Kachari Me Nalish(Muqdama) Darai Ki Ke Mujhe Rupe Nahi Mile Aur Do Shakhso Ne Jo Is Waqiah Me Maujud They Aur Unke Samne Rupe Diye Gaye They Qasam Kha Kar Shahdat Di Ke Isko Rupe Nahi Mile. Un Sab Ke Liye Shariat Ka Kya Hukm Hai?_


📌 *Irshad: Mudai Se Chodhari Ko Rupe Lena Haram Hai, Han ! Apni Khushi Se De To Mazaiqa Nahi Aur Mudai Aur Gawaho Par Tauba FArz Hai Ke Jhoot Dawa Kia Aur Jhoothi Gawahi Di Aur Jhoothi Qasam Khai.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 118,119.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites