*【POST 45】Rishwat Ko Apna Haq Qaraar Dena Kufar Hai*💫

✨ _*Arz:* Rishwat Bhi Apni Khushi Se Di Jati Hai Balke Chodhri To Manga Aur Mudai Ne Inkar Kia. Phir Jab Chodhri Ka Boht Israr Huwa To Usne Sab De Diye Jis Se Malum Huwa Ke Wo Nakhush Tha Aur Yeh Ke Khushi Se Deta Hun Jhooth Tha Aur Rishwat To Bagair Talab Khud Di Jati Hai Phir Yeh Kyon Jaiz Huwa? Aur Wo To Haram Hi Hai Aur Chodhri Ko Jo Pehle Lena Haram Tha Uski Wajh Se Bhi Niyat E Rishwat Hogi?_


📌 *Irshad: Insaani Khawaish Waha Tak Mautbar Hai Jaha Tak Nai Sharai (Sharai Mumaniat) Na Ho, Rishwat Sharah Ne Haram Farmai Hai Wo Kiski Khushi Halaal Nahi Ho Sakti. Sahi Hadees Me Farmaya :*

✨ _Rishwat Lene Wala Aur Dene Wala Dono Jahannumi Hai._

📚 *[Majmah Ul Jawaid]*


📌 *Chodhri Jo Sulah Ho Jane Par Sulah Ka Muwaza Lete Hai Wo Rishwat Nahi Hai , Balke Ek Najaiz Ujrat Hai. Jahilan E Bekhud (Beaqal Jahil) Esi Jaga Haq Ka Lafz Bolte Hai , Yaha Tak Ke Rishwat Khawar Bhi Yahi Kahta Hai Ke Humara Haq Dilwaye. Yeh Kufar Hai Ke Haram Ko Haq Kaha. Warh (Taqwa) Ka Martba Wahi Jo Tumne Kaha Ke Zahir Andaz Se Maznun (Guman) Hota Hai Ke Uska Yeh Dena Haqiqatan Khushi Se Na Huwa. Agar Che Bazahir Saaf Kah Raha Hai Ke Main Khushi Se Deta Hun Magar Shariat Muthara Me Zubaan Muzhar E Maafi Ul Zamin (Yani Dil Ki Baat Zahir Karne Wali) Mani Gayi Hai, Wo Jo Kuch Hai Qayasi Dalalat Hai Aur Yeh Khushi Se Deta Hun Sarih Tasrih Hai Aur Fatwa Qazi Khan Wagera Me Musrah (Wajeh Taur Par Bayan Kia Gaya Hai)*

✨ _Sarih Ke Aage Dalalat Na Li Jayegi._

📚 *[Dar Mukhtaar Ma Rad Ul Mohtaar]*


📌 *Fiqah Me Boht Masail Isi Par Mabni Hai Ke Khaniyah Wa Hindiyah Wa Daur E Mukhtar Me Hai Aur Tamaam 'Kitab Hail" (Hile Ki Jamah0 Ki Bina Hi Is Par Hia Warna Asal Garz E Qalbi Is Aqad E Malfuz (Yani Zubaan Ke Zariyeh Kiye Gaye Mu'hide) Ke Mutabiq Nahi Hoti. Darzi Se Kapda Silwaya Aur Ujrat Dene Ka Kuch Zikr Na Aya Ujrat Wajib Ho Gayi Ke Uska Paisha Hi Dalil E Ujrat Hai Lekin Agar Usne Kah Dia Tha Ke Main Tum Se Ujrat Nahi Chahta Ab Nahi Le Sakta, Agar Che Dostana Me Kaha Ho. Agar Che Isi Surat Me Galiban Yeh Kahna Dil Se Nahi Hota Balke Mehaj Murut Wa Lihaj Se, Hatal Imkaan Musalmaan Ka Haal Salah (Achai) Par Mahmul Karna (Yani Samjana ) Wajib Hai. Qayas Se Thhehra Lena Ke Usne Khushi Se Dena Jhoooth Kaha Uski Taraf Tin Kabiro Ki Nisbat Hai, Ek To Jhooth , Dusra Dhika Dena Ke Dia Narazi Se Aur Us Par Raa Zahir Ki, Tisra Haram Mal Dena, Jiska Lena Haram Hai Dena Bhi Haram Hai." Lehaja Uska Qaul Waqiat (Haqiqat) Par Mamul Karege (Samjege)/*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 120,121.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_



















No comments:

Post a Comment

Our Social Sites