*【POST 60】Hazrate Nuh Allaysallam Ki Umar Kitni Thi?*💫

✨ _*Arz:-* Kya Hazrat Nuh Allaysallam Ne Dunia Me Ek Hazar Baras Qayam Farmaya?_

📌 *Irshad: Nahi Balke Taqriban 1600 Baras Tak Tashrif Farma Rahe.*

📖 *[Al Jameh Ul Ahkaam Wal Quraan Lil Qurtabi*


💫 *Kya Ambiyah Allaysallam Par Hajj Farz Tha?* 💫


✨ _*Arz:* Huzur Amabiyah Allaysallam Par Hajj Farz Huwa Tha?_

📌 *Irshad: Un Par Farziyat Ka Haal Khuda Jane ! Ambiyah Allaysallam Hajj Karte Rahe.*


💫 *Kabba Ki Fariyaad* 💫


📌 *Hazrat Sulemaan Allaysalam Ka Takht Hawa Par Udta Jaa Raha Tha Jab Kabba Muazmah Se Guzra To Kabba Roya Aur Bargah E Aahdiyat Me (Yani Allah Azwajjal Ke Huzur) Arz: Ki Ke "Aey Nabi Tere Ambiyah Se Aur Ek Lashkar Tere Lashkaro Se Guzara Na Mujh Me Utara, Na Namaz Padi. "Is Par Irshad E Barih Ta'la Huwa, "Na Ro ! Main Tera Haj Apne Bando Par Farz Karuga Jo Teri Taraf Ese Tuutege Jaise Parinda Gonsle Ki Taraf Aur Ese Rote Hue Dodege Jis Tarah Untani Apne Bache Ke Shoq Me Aur Tujh Me Nabi Akhir Ul Zama Ko Paida Karuga Jo Mujhe Sab Ambiyah Se Zayda Pyara Hai ﷺ.*

📖 *[Tafir Bagwi, Surah Namal]*


💫 *Garur Aur Guroor Me Kya Farq Hai?* 


✨ _*Arz: :* Garur Bil Fatah (Yani Zabar Ke Sath) Aur Gurur Bil Zam (Yani Paish Ke Sath) Me Kya Farq Hai?_

📌 *Irshad: Garur Bil Fatah Faribi Au Bil Zam Fareb.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 146,147.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites