✨ _*Arz:* Huzur ! Aauliyah Ek Waqt Me Chand Jagah Hazir Hone Ki Quwat Rakhte Hai?_
📌 *Irshad: Agar Wo Chahe To Ek Waqt Me 10000 Sheharo Me 10000 Jagah Ki Dawat Qabul Kar Sakte Hai.*
💫 *Ek Shuba Aur Uska Izala.* 💫
✨ _Arz E Maulif:Huzur Is Se Yeh Khayal Hota Hai Ke "Alam Mishal" Se "Ajsham E Mashliya" Aauliyah Ke Tabeh Ho Jate Hai Isliye Ek Waqt Me Mut'adad Jagah Ek Hi Sahab Nazar Ate Hai. Agar Yeh Hai To Is Par Shuba Hota Hai Ke : Mishl" To Shay Ka Gair Hota Hai._
*Amshal Ka Wujud Shay Ka Wujud Nahi To In Ajsam Kao Jod Is Jism Ka Wujud Na Thhehrega?*
📌 *Irshad:- Amshal Agar Hoge To Jism Ke. (Jabke) Unki Ruh In Tamam Ajsam Se Mutliq Hokar Tasruf Farmayegi To Az Ruh Ruh Wa Haqiqat Ek Zat Har Jagah Maujud Hai Yeh Bhi Faham E Zahir Me Warna "Shab E Sanabil Sharif" Me Hazrat Syedi Fatah Mohammad Quds Sira Sharif Ka Waqt E Wahid Me 10 Majliso Me Tashri Le Jana Tahrir Farmaya Aur Yeh Ke Is Par Kisi Ne Arz Ki Hazrat Ne Waqt E Wahid Me 10 Jagah Tashrif Le Jane Ka Wada Farma Liya Hai, Yeh Kyon Kar Ho Sakega? Shaikh Ne Farmaya: "Kirshan Kanhiyah Kafir Tha Aur Ek Waqt Me Kayi So Jagah Maujud Ho Gaya, Fatah Mohammad Agar Chand Jagah Waqqt Me Ho Kya Tajub Hai !"*
📖 *[Sabe Sanabil]*
✨ _Yeh Zikr Karke Farmaya: Kya Yeh Gumaan Karte Ho Ke Shaikh Ek Jagah Maujud They Baqi Jagah Mishali? Hasha ! Balke Shaikh Bazat E Khud Har Jagah Maujud They. Israr E Batin Faham E Zahir Se Wara Hai. *(Yani Batani Raz Zahir Samj Se Bahar Tar Hai)* Khuzu Wa Fikr Be Ja Hai."_
💫 *Hindustaan Me Islam Kab Phaila?* 💫
✨ _*Arz: :* Huzur Hindustaan Me Islam Hazrat Khawza Gareeb Nawaz Rehamtullah Allay Ke Waqt Se Phaila?_
📌 *Irshad: Hazrat Se Kayi So Baras Pehle Islam Aa Gaya Tha. Mash'hur Hai Ke Sultan Mehmood Gaznawai Ke Satar Hamle Hindustaan Par Hue.*
💫 *Ek Shair Ka Matlab.* 💫
✨ _*Arz: :* Is Sher Ka Kya Matlab Hai?_
🌴 *“Ahl Nazar Ne Gaur Se Dekha To Yeh Khula' 'Kabba Jukka Huwa Tha Madine Ke Samne”* 🌴
📌 *Irshad: Shab E Milaad Kabbe Ne Sajda Kia Aur Jhuka Muqam E Ibrahim Ki Taraf Aur Kaha: Hamd Hai Uski Wajh E Karim Ko Jisne Mujhe Bhuto Se Paak Kia.*
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 214,215*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment