JUNG-E-BADR KA TAFSEELI BAYAN"PART:- 10.


JUNG-E-BADR AUR DONO LASHKAR AAMNE SAMNE....*

Ab Waqt Hai Ki Medane Badr me Haq wa Batil Ki Dono Safe Ek Dusre ke Samne Khadi hai Quran Elaan Kar raha hai...

↪Tarjuma:-
Jo Log Baham Lade Unme Tumhare Liye Ibrat Ka Nishan hai Ek Khuda ki Raah me Lad Raha tha Aur Dusra Munkeere Khuda Tha...

📓(Sureh Aale Imran)

Huzur ﷺ  Mujahiddine Islam ki Saff-Bandi se Farigh Hokar Mujahiddin ki Karardad Ke Mutabiq Apni Us Chappar me Tashrif le Gae Jisko Sahaba e Kiraam ne Apki Hifazat ke Liye Bana Rakha tha...

Ab Us Chappar ki Hifazat ka Sawal Behad Aham tha Kyonki Kuffare Makkah Ke Hamlo Ka Asal Nishana Huzur ﷺ  Ki Hi Zaat e Aqdas thi Kisi ki Himmat Nahi Padti thi Ki Us Chappar Ka Pehra De lekin Is Mouke Par bhi Apke Yaar-E-Gaar Hazrate Siddiq رضي الله تعالي عنه Ki Qismat me Ye Saa'dat Likhi Thi Ki Wo Nangi Talwar Leker Us Jhopdi Ke pas Datte Rahe Aur Hazrate Saa'ad Bin Muaz رضي الله تعالي عنه bhi Chand Ansariyo Ke Sath Us Chappar ke Gird Pehra Dete rahe....

JUNG-E-BADR AUR DUA E NABAWI....*

Huzur Sarware Aalam ﷺ Is Nazuk Ghadi me Janabe Bari Me Lage hue Giryazari Ke Sath Khade hokar Hath Felae Dua Mang Rahe the...

KHUDA WANDA ! TUNE MUJHSE JO WADA FARMAYA HAI AAJ USE PURA FARMA DE...

Aap Is Qadar Riqqat Aur Mehviyat Tari thi Ki Josh e Girya me Chadar Mubarak Doshe Anwar se Gir-Gir Padti thi Magar Aap Ko Khabar nahi hoti thi Kabhi aap Sajde me Ser Rakh Kar is trah dua mangte...

ILAHI AGAR YE KUCH NUFUS HALAK HO GAE TO FIR QAYAMAT TAK ROO-E-ZAMEEN PAR TERI IBADAT KARNE WALE NA RAHENGE....

Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Apke Yaar e Gaar the Apko Is Trah se Be-Karar Dekh kar Unke dil ka Sukoon o Karar Jata raha Aur un Par Ruqqat Tari Ho Gai Aur Unhone Chadar e Mubarak ko Utha kar Apke Muqaddas Kandhe Par Dali Aur Apka Dast Mubarak Thamkar Bharai Hui Aawaz me Bade Adab ke Sath Arz kiya ki *"Huzur Ab Bas kijiye Khuda Zarur Apna Wada pura Farmaega....*

Apne Yaar-E-Gaar Siddiq Jaa-Nisar ki Baat Mankar Apne Dua Khatm Kar di Aur Apki Zabane Mubarak Par Is Ayat ka Wird Jari ho gaya...

↪Tarjuma:-
Anqareeb (Kuffar ki) Fouz Ko Shikasht De di Jaegi Aur wo Pith Fer ke Bhag Jaenge...
(SUREH QAMAR)

Aap Is Ayat ko Baar Baar Padhte Rahe Jisme Fateh Mubeen ki Basharat Ki Taraf Isahara Tha....

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites