JUNG-E-BADR KA TAFSEELI BAYAN PART:-11.


JUNG-E-BADR ME LADAYI KIS TRAH SHURU HUI...

Jung Ki Ibteda Is Tarah Hui Ki Sab Se Pehle Aamir Bin-Ul-Haris Hajrami Jo Apne Maqtool bhai Amar Bin-Ul-Hajrami ke Khoon ka Badla Lene ke liye Be-Karar Tha Jung ke Liye Aage Badha Uske Muqable ke Liye Hazrate Umar رضي الله تعالي عنه  ke Gulam Hazrate Muhajja رضي الله تعالي عنه Medan me Nikle Aur Ladte hue Shahadat Me Sarfaraz ho gae...

Fir Hazrate Harisa Bin Suraqa Ansari رضي الله تعالي عنه Houz  se Pani Pee Rahe the Ki Naagha Unko Kuffar Ka ek Teer Laga Aur wo Shaheed ho gae....

*⚱JUNG-E-BADR ME HAZRATE UMAIR KA SHOUQ E SAHADAT....*

☄Huzur-E-Aqdas ﷺ Ne Jab Joshe Jihad Ka Elan Farmate Hue Irshad Farmaya ki Musalmano Us Jannat ki Taraf Badhe Chalo Jiski Chorayi Aasman Aur Zameen Ke Barabar hai....

To Hazrate Umair Bin Hamam Ansari رضي الله تعالي عنه Bol Uthe Ki Yaa Rasooallah ﷺ Kya Jannat ki Chorayi Zameen Wa Aasman ke Ke Barabar hai ??
Irshad Farmaya ki "HAAN" Ye Sunkar Hazrate Umair رضي الله تعالي عنه Ne Kaha "WAH-WAH"
Aap Daryaft Farmaya ki Kya ek Umair Tumne "WAH-WAH" Kis liye kaha ?

☄Arz kiya ki Yaa Rasooallah ﷺ Faqat Is Ummed par ki Me bhi Jannat Me Dakhil ho jau...

Aapne Khush Khabri Sunate Hue Irshad Farmaya ki Aye Umair !
Tu Beshak Jannati hai Hazrate Umair رضي الله تعالي عنه Us Waqt Khazure Kha rahe the Ye Basharat Suni to Mare Khushi ke Khazure Fenk kar Khade ho Gaye Aur Ek Dum Kuffare Quraish Par Talwar Leker Toot Pade Aur Jaa-Bazi Ke Sath Ladte Hue Shaheed Ho gae...
(Muslim Kitab-ul-Jihad Baab Suqute Farzil Jihad Anil Maazurin, Jild-2,Safa-129)*

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites