*⚱JUNG-E-BADR ME HAZRATE ZUBAIR KI TARIKHI BARCHI.....*
☄Iske Baad Saeed Bin Aas Ka beta "UBAID" Ser Se Pero Tak lohe ka Libaas Aur Hathiyaro Se Chupa hua Saff se Bahar Nikla Aur Ye Kehkar Islami Lashkar ko Lalkarne Laga ki Me Abu Karash Hu....
Uski Ye Maghruran Lalkar Sunkar Huzur ﷺ Ke Fufi-Zaad Bhai Hazrate Zubair Bin-ul Awwam رضي الله تعالي عنه Josh Bhare hue Apni Barchi Leker Muqable ke Liye Nikle Magar Ye dekha ki Uski Dono Aankho Ke siwa Uske Badan ka Koi Hissa Esa nahi tha Jo Lohe se Chupa hua Na ho Hazrate Zubair رضي الله تعالي عنه Ne Taak kar Aankh me Is Zor se Barchi Mari ki wo Zinn Hokar Gir Para Aur Mar gaya....
☄Barchi Uski Aankh ko Chedti Hui Khopdi ki Haddi Tak Chubh Gai Thi Hazrate Zubair رضي الله تعالي عنه Ne Jab Uski Lash Par Pau Rakhkar Puri Takat Se Kheecha To Badi Mushkil se Barchi Nikli Lekin Uska Ser Mudkar Khatm Ho gaya...
Barchi Ek Tarikhi Yaadgaar Bankar Barso Tak Tabarruk Bani Rahi Huzur ﷺ Ne Hazrate Zubair رضي الله تعالي عنه Se Ye Barchi Talab Farma li Aur Usko Hamesha Apne Pas Rakha Fir Huzur ﷺ Ke Bad Barchi Khulfa-E-Rasheedin Ke Pas Muntaqil Rahi Fir Hazrate Zubair رضي الله تعالي عنه Ke Farzand Hazrate Abdullah رضي الله تعالي عنه Ke pas Aai Yaha Tak ki 73 Hijri me Jab Banu Umaiyya Ke Qabze me Chali Gai Fir Iske Bad Laa'pata Ho gai....
CONTINUE....
No comments:
Post a Comment