JUNG-E-BADR KA TAFSEELI BAYAN" PART:-14.


*⚱JUNG-E-BADR ME ABU JAHAL ZILLAT KE SATH MARA GAYA....*

☄Hazrate Abdurrehman Bin Aouf رضي الله تعالي عنه  Ka Bayan Hai ki Me Saff me Khada Tha Aur mere Dae-Bae 2 Nau Umar Ladke Khade the Ek Ne pucha Chacha Jaan Kya Aap Abu Jahal ko Pehchante ho Mene Us Se Kaha Kyo Bhatije Tumhe Abu Jahal se Kya kaam hai ???

Usne Kaha Ki Chahcha Mene Khuda se Ahad Kiya hai Ki Me Abu Jahal ko Jaha dekh Lunga Waha Use Qatl Kar dunga Ya Khud Ladta hua Mar Jaunga Kyonki Wo Allah ke Rasool ﷺ Ka Bahoot hi Bada Dushman Hai...

☄Hazrate Abdurrehman Kehte hai ki Me Hairat se Uska Munh Dekhta Raha Ki Dusre Naw-Jawan Ne bhi Mujhe Yahi Sawal kiya Itne me Abu Jahal Talwar Ghoomata Hua Samne Aa gaya Ye Dono Ladke Talwar lekar Uspar Is Trah Jhapte ki Jese Baaz Apne Shikar par Jhapatta hai Dono Ne Apni Talwar se Use Maar-Maar Kar Dher kar diya Ye Dono Ladke Hazrate Mua'zza Aur Muaz رضي الله عتهما The *"UFRA"* Ke Bete the...

Abu Jahal Ke Bete Ikrama Ne Apne Baap ke Qateel Hazrate Muaz Par Hamla Kar diya Aur Piche se Unke Bae Shaan par Talwar Mari Jis Se Unka Bazu Kat gaya Lekin Thoda Sa Chamda Baki Reh Gaya Aur Hath Latakne Laga Hazrate Muaz ne Ikrama ka Picha kiya Aur Door Tak Doudaya Magar Ikrama Bhaag Kar Bach Nikla...

☄Hazrate Muaz رضي الله تعالي عنه  Is Halat me Bhi Ladte Rahe Lekin Kate Hue Hath ko Pau se Dabakar Is Zor se Kheecha ki Chamda Alag ho Gaya Aur Fir Wo Aazad hokar Ek Hath se Ladte Rahe....

Hazrate Abdullah Bin Mas'ud رضي الله تعالي عنه Abu Jahal ke Pas Se Guzre Us Waqt Abu-Jahal ki Kuch-Kuch Zindagi Ki Ghadiya Baki thi Hazrate Abdullah Bin Mas'ud رضي الله تعالي عنه  Ne Us Ki Gardan ko Apne Pau Se Roond Kar Farmaya Ki *"TU HI ABU JAHAL HAI"??*
Bata Aaj Tujhe Allah ne Kesa Ruswa kiya...

☄Abu Jahal Ne Is Halat me Bhi Ghamand Ke Sath Ye Kaha ki Tumhare liye Ye koi Bada Karnama Nahi Hai Mera Qatl Ho Jana Isse Jyada Nahi hai Ek Aadmi ko Uski Qoum ne Qatl Kar diya Haan Muje Afsos Hai ki Kash Mujhe Kisano ke Siwa Koi Dusra Saksh Qatl Karta....

HAZRATE MUAZ AUR HAZRATE MUAWWAZ رضي الله تعالي عنه  CHUNKI ANSARI AUR ANSAR KE KHETI BADI KA KAAM KARTE THE AUR QABEELA E QURAISH KE LOG KISANO KE BADI HIQARAT KI NAZAR SE DEKHA KARTE THE IS LIYE ABU JAHAL NE KISANO KE HATHO QATL HONE KO APNE LIYE QABEELE AFSOS BATAYA....*

Jung Khatm Ho Jane ke Bad Huzure Akram ﷺ Hazrate Abdullah Bin Mas'ud Ko Sath Leker Abu Jahal ki Lash ke Pas se Guzre To Lash ki Taraf Ishara Karke Farmaya Ki "ABU-JAHAL IS ZAMANE KA FIR'OUN HAI" Fir Abdullah Bin Mas'ud رضي الله تعالي عنه  Ne Abu Jahal ka Ser Kaat Kar Tajdare Do Aalam ﷺ Ke Qadmo Me Daal Diya...
(Bukhari, Gazwa-E-Badr wa Dalaelun Nabuwwah, Jild-2, Safa-173)*

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites