JUNG-E-BADR KA TAFSEELI BAYAN" PART:-15.


*⚱JUNG-E-BADR ME ABUL BAKHTARI KA QATL...*

☄Huzur ﷺ Ne Jung Shuru Hone Se pehle hi Farma Diya tha ki Kuch Log Kuffare Quraish Ke Lashkar me Ese Bhi hai Jinko Kuffare Makka Dabaw me Daalkar Lae hai Ese Logo ko Qatl Nahi Karna Chahiye In logo ke Naam bhi Huzur ﷺ Ne Bata Diye Unhi Logo me se Abul Bakhtari bhi tha jo Apni Khushi Se Musalman Se Ladne ke liye Nahi Aaya tha Balki Kuffare Makka Dabaw me Daalkar Zabardasti Karke Laye the....

Jung ki Halat me Hazrate Muzzir Bin Ziyad رضي الله تعالي عنه Ki Nazar Abul Bakhtari Par Padi Jo Apne Ek Gehre Dost Junadah Bin Maliha ke Sath Ghode par Sawar Tha Hazrate Muzzir رضي الله تعالي عنه Ne Farmaya ki Aye Abul Bakhtari Huzur ﷺ Ne Hum logo ko Tere Qatl Se Mana Farmaya hai Isi Liye Me tujhe Chod deta hu....

Abul Bakhtari ne Kaha Ki Mere Sathi Junadah Ke Bare me Tum Kya kehte ho ???
To Hazrate Muzzir رضي الله تعالي عنه Ne Saaf-Saaf Keh Diya Ki Isko Hum Zinda Nahi Chod Sakte...

Ye Sunkar Abul Bakhtari Josh me Aa gaya Aur Kaha ki Me Arab ki Aurto ka Ye Taa'na Nahi Sun Sakta ki Abul Bakhtari ne Apni Jaan Bachane ke liye Apne Sathi ko Tanha Chod diya fir Abul Bakhtari ne Ek Sher Padha Ki....

*🏵EK SHARIF ZADA APNE SATHI KO KABHI HARGIZ NAHI CHOD SAKTA JAB TAK MAR NA JAE YA APNA RASTA NA DEKH LE.....*

☄Iske Bad Abul Bakhtari ko Qatl Kardiya Gaya☄

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites