JUNG-E-BADR KA TAFSEELI BAYAN" PART:-16.


JUNG-E-BADR ME UMAIYYA KI HALAQAT...

☄Umaiyya Bin Khalaf Bahut hi Bada Dushmane Rasool tha Junge Badr Me Jab Kufr Wa Islam Ke Dono Lashkar Guttham-Guttha Ho Gae To Umaiyya Apne Talluk Ki Beena Par Hazrat Abdurrehman Bin Aouf رضي الله تعالي عنه  Se Chipak Gaya Ki Meri Jaan Bacha Lijiye...

Abdurrehman Bin Aouf رضي الله تعالي عنه Ko Reham Aa Gaya Aur Apne chaha ki Umaiyya Bachkar Nikal Bhage Magar Hazrate Bilal رضي الله تعالي عنه  Ne Jab Umaiyya Ko Dekh Liya To Hazrate Bilal رضي الله تعالي عنه  Jo Umaiyya ke Gulam The Aur Umaiyya ne Unhe bahut Zyada Sataya tha Isliye Joshe Intiqam Me Hazrate Bilal رضي الله تعالي عنه Ne Ansar ko Pukara Ansari log Daf'atan Toot Pade....

☄Hazrate Abdurrehman Bin Aouf رضي الله تعالي عنه Ne Umaiyya Se kaha ki Tum Zameen Par Let Jao Wo Let gaya To Hazrate Abdurrehman Bin
Aouf رضي الله تعالي عنه  Usko Bachane ke liye Uske upar Letkar Usko Chupane Lage...

Lekin Hazrate Bilal Aur Ansar   رضي الله عنهم Ne Uski Tango Ke Andar Hath Daalkar Aur Bagal Se Talwar Ghop Ghop Kar use Qatl Kar diya....
(Bukhari, Jild-1, Safa-308, Baabu Iza Waqqal Muslim Hariban)*

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites