SOHDA-E-BADR....
☄Junge Badr me Kull 14 Musalman Sahadat se Sarfaraz Hue Jinme 6 Muhajir Aur 8 Ansaar the....
Aur In Sohda-E-Badr me Se 13 Hazrat To Medane Badr me hi Madfun(Dafn) Hue Magar Hazrate Ubaida Bin Haris رضي الله تعالي عنه Ne Chunki Badr se Vapsi Par Manzil "SUFRA" Me Wafat Pai Isliye Unki Qabr Sharif Sufra Me Hai...
(Zurqani,Jild-1,Safa-415)
BADR KA GHADDA....*
☄Huzur ﷺ Ka Hamesha Ye Mamool Amal Raha Ki Jaha Kabhi Koi Lash Nazar Aati thi Aap use Dafan Karva Dete the Lekin Badr me Qatl Hone Wale Kuffar Jinki Taadat Bhot Zyada Thi Sabko Alag Alag Dafn Karna Ek Dushwar Kaam tha Is liye Tamaam Lasho ko Apne Ek Ghadde me Daal dene ka Huqm Diya...
Chunache Sahaba Kiram Ne Tamaam Lasho ko Ghaseet kar Ghadde me Daal diya Umaiyya Bin Khalaf ki Laash Fool Gai thi Jisko Ghaseetne par Uske Aaza Alag-Alag Hone Lage Is Liye Uski Lash Wahi Mitti me Daba di Gai....
(Bukhari Kitab-ul-Magazi Baab Qatl Abu Jal,Jild-2,Safa-566)*
BADR KE MUJAHIDDIN KE FAZAIL...*
Jo Sahaba-E-Kiram Junge Badr Me Sharik Hue Wo Tamaam Sahaba Me Khushusi Sharf Ke Sath Mumtaz Hai Aur Un Khush Naseebo Ke Fazail Me Ek Bahut Hi Azeem-Usshan Fazilat Ye Hai ki In Saa'dat Mando Ke Bare me Huzur-e-Aqdas ﷺ Ne ye Farmaya ki...
BESHAK ALLAH TAA'LA AHLE BADR SE WAQIF HAI AUR UNSE YE FARMA DIYA HAI KI TUM AB JO AMAL CHAHE KARO BILA SHUBHA TUMHARE LIYE JANNAT WAJEEB HO CHUKI HAI....*
(BUKHARI BAAB FAZAIL-E-BADRIN,JILD-2, SAFA-257)*
*⚱ABU-LAHAB KI KHOUF-NAAK MOUT....*
Abu Lahab Jung-e-Badr me Shameel Nahi Ho Saka Jab Kuffare Makka Shikast Kha kar Vapas Aae To Logo Ki Zabani Jung e Badr ke Halat Sunkar Abu-Lahab Ko Intihai Ranj-O-Malal Hua...
☄Uske Bad Hi Wo Badi Chechak Naam ki Beemari me Mubtila Hua Jisse Uske Tamaam Badan Sadd Gaya Aur 8 ve din Mar gaya Arab ke log Chechak ki Beemari se Bahut Darte the Aur Is Beemari Me Marne Wale ko Bhot hi Manhoos Samajte the Is Liye Uske Beto Ne bhi Uski Lash Ko Hath Nahi Lagaya...
Magar is Khayal se ki Log Ta'ana Denge To Ek Ghadda Khod Kar Lakdiyo Se Dhakelte Hue Le Gae Aur us Ghadde Me Girakar Upar se Mitti Daal di Aur Baa'az Mua'rrikhin ne Farmaya Ki Door Se logo ne Us Ghadde me Patthar Fenke Ki Uski Lash Chup Gai...
(Zurqani, Jild-1, Safa-452)*
CONTINUE....
No comments:
Post a Comment