【Part~ 06】★ Ilme Gaib e Mustafa ﷺ ★

✔ Hadees No. 7

Junge Badr ki Hadees me Hazrate Anas ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne maidane jung mein jung se pehle Zameen par apna hath rakh kar farmaya ki Yeh falan kaafir ke marne ki
jagah hai aur ye falan ke Raawi kahte hai ki jis ko Rasoolullah ﷺ ne jahan hath rakh kar farmaya tha wahi par wo maara gaya


»» Sahih Muslim Jild 2 Safa 102
»» Nasayi Jild 1 Safa 226

▶ Is Hadees Ko padh kar ye andaza lagana mushkil hai ki Allah Ta'ala ne Apne Rasool ﷺ ko kis qadar ilm ata farmaya hai ki abhi jung nahi hui hai aur Aap ﷺ ne ek ek kaafir ke maare jaane ki jagah ki nidhandehi farma di goyaa Aap ﷺ ye bhi jaante the ki koun koun maara jayega aur ye bhi jaante the ki kahan maara jayega

●Kahan Marega Abu Jahal o Utba o Sheiba,
●Ke jung e Badr ka Naqsha Huzoor Jaante Hain.


◎To Be Continue......◎
_______________________________________




No comments:

Post a Comment

Our Social Sites