✔ Hadees No. 8
Hazrate Ayesha Siddiqua ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ se Aap ki ba'az biwiyo ne ek martaba sawal kiya ki Aap ﷺ ke baad Hum mein se sab se pehle A
ap ﷺ ke Paas koun aayegi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki tum mein jis ka haath zyada lamba hoga . Paak biwiyon ne charri hath me le kar hath naapna shuru kar diye to Hazrate Sauda ka haath lamba nikla fir baad mein hum ko maloom hua ki haath ki lambai se muraad sadqa yaani sakhawat hai chunanche wo sab se pehle Huzoor ﷺ se mili aur inhe khairat karna bahot pasand tha.
»» Bukhari Jild 1 Safa 191
➡ Is Hadees ko padhne se chand baate khul kar saamne aati hai.
1⃣ Allah Ke Rasool ﷺ ke baare mein Aap ﷺ ki paak biwiyon ka aqeeda tha ki Huzoor ﷺ maloom hai ki kis ko kab mout aayegi ? Isliye to unhone Huzoor ﷺ se dariyaft farmaya ki Aap ﷺ ke baad hum mein se koun Aap se pehle milegi.
2⃣ Huzoor ﷺ ka jawab marhamat farma dena ki tum mein lambe hath wali milegi Is baat ki nishandehi hai ki Huzoor ﷺ ne unke is aqeede ki taeed kar di.
3⃣ Lambe hath se Huzoor ﷺ
Ki muraad sadqa wa khairat karna tha aur paak biwiyon ne naapna shuru kar diya goyaa hadees ka mafhoom samajhne mein unse bhi chuk hui isse maloom hota hai Hadees shareef ka mafhoom samajhna mushkil kaam hai isiliye olma e kiraam se raabata aur kisi Imaam ki taqleed kar ke muqallid hona chahiye.
4⃣ Sadqa Wa khairat Karne wale Huzoor ﷺ se zyada kareeb hai.
◎To Be Continue......◎
_______________________________________

No comments:
Post a Comment