FATEH MAKKAH PART:- 02

QURAISH KI AHAD SHIKNI...*

Suleh Hudebiya me Ek Shart Ye bhi Thi Ke Qabeela-E-Arab Me Se Jo Qabeela-E-Quraish Ke Sath Muahida Karna Chahe Woh Quraish ke Sath Muahida Kar Le Aur Jo Hazrate Muhammad Huzur ﷺ Se Muahida Karna Chahe Woh Huzur ﷺ Ke Sath Muahida Kar le...

Chunache Is Bat Par Qabeela-E-Bani Baqar Ne Quraish Se Bahmi Imdad Ka Muahida Kar Liya, Aur Qabeela-E-Bani Khuza'a Ne Rasoolallah ﷺ Se Imdade Bahmi ka Muahida Kar liya Ye Dono Qabeele Makkah ke Qareeb hi Aabad The Lekin Un Logo me Arsa-E-Daraz Se Sakht Adawat Aur Mukhalifat Chali Aa Rahi thi Ek Muddat Se to Kuffare Quraish Aur Dusre Qabeele Ke Kuffar Musalmano se Jung Karne me Apna Saara Zor Sarf Kar Chuke the....

Lekin Suleh Hudebiya Ki Badoulat Jab Musalmano Ki Jung se Kuffare Quraish Aur Dusre Qabeele Ko Itmenan Mila to Qabeela-E-Bani Baqar ne Qabeela-E-Bani Khuza'aa Se Apni Purani Adawat Ka Intikam Lena Chaha Aur Apne Haleef Kuffare Quraish Ke Tamam Ameero Yani Ikrama Bin Abu Jahal, Safwan Bin Umaiyya, Suhail Bin Amr, Wagera-Wagerah Bade Sardaro Ne Elaniya Bani Khuza'aa Ko Qatl kiya..

Bechare Bani Khuza'aa Is Khoufnaak Zalimana Hamle ki Taab Na Laa Saka Aur Apni Jaan Bachane ke Liye Qa'ba Me Panah Lene Ke liye Bhage, Bani Baqar ki Awam Ne To Haram Me Talwar Chalane se Hath Rok Liya Aur Harame Ilahi Ka Ehteraam Sifat Khunkhar Insano ne Harame Ilahi Ka Ehteram Ko bhi Khaak Me Mila Diya Aur Harame Qaba Ki Hadd me Nihayat hi Zalimana Tor par Bani Khuza'aa Ka Khoon Bahaya Aur Kuffare Quraish Ne Bhi Qatlo Garat Aur Kushto Khoon Me Khoob-Khoob Hissa Liya...
(ZURQANI, JILD-02, SAFA-289)

Zahir Hai ki Quraish ne Apni Is Harkat Se Hudebiya Se Muahide Ki Amali Tor par Tod Daala, Kyonki Bani Khuza'aa Rasoolallah ﷺ Se Muahida Karke Aapke Haleef Ban Chuke The, Isliye Bani Khuza'aa Par Hamla Karna Ye Rasoolallah ﷺ Par Hamla Karne Ke Barabar Tha Is Hamle Me Bani Khuza'aa Ke 23 Aadmi Qatl Ho Gaye ...

Is Haadse Ke Bad Qabeela-E-Bani Khuza'aa Ke Sardar Amar Bin Saalim Khuzayi 40 Aadmiyo Ka Qafla Lekar Fariyad Karne Aur Imdad Talab Karne Ke Liye Madina Bargahe Risalat ﷺ Me Pahuche Aur Yahi Se *FATEH MAKKAH* Ki Shuruat Huyi.....

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites