JUNG-E-BADR AUR MADINA SE RAWANGI....
Chunache 12 Ramzan 2 hijri Ko Badi Azlat ke Sath log Chal Pade Jo Jis Haal me Usi Haal me Rawana Ho gaya Is Lashkar me Huzur ﷺ Ke Sath Na Zyada Hathiyar the Na Fouzi Na Rashan ki Koi Badi Miqdar thi Kyonki Kisi ko Guman bhi na Tha ki is Safar me Ek Bhot Badi Jung hogi...
Magar Jab Makkah Me ye Khabar Feli ki Musalman Musallah hokar Quraish Ka Qafla Lootne Ke liye Madine Se Chal Pade hai To Makkah Me Ek Josh Fail Gaya Aur Ekdum Kuffare Quraish Ki Fouz Ka Dal Badal Musalmano Par Hamla Karne ke Liye Taiyyar ho Gaya...
Jab Huzur ﷺ Ko Is Bat ka Pata chala to Apne Sahaba Kiram ko Jama Karke Farmakar Surate Haal se Aagah Kiya Aur Saaf-Saaf Farma Diya ki Mumkin hai Ki Is Safar me Kuffare Quraish ke Qafle se Mulaqat ho Jae Aur Ye bhi ho Sakta hai ki Kuffare Quraish Makkah ke Lashkar se Jung ki Nobat aa jae..
Irshad e Girami Sunkar Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Wa Hazrate Umar Farook Aur Dusre Muhajeerin Ne Bade Josh Wa Kharosh Ka Izhar kiya Magar Huzur ﷺ Ansar Ka Munh Dekh Rahe the Kyonki Ansar ne Apke Daste Mubarak Par Bait Karte Waqt ye Ahad kiya tha ki wo Us Waqt Talwar Uthaenge Jab Kuffar Madina Par Chad Jaenge Aur Yaha Madina Se Bahar Nikalkar Jung Karne ka Mamala Tha....
Ansar me Se Qabeela-E-Khajraj Ke Sardar Hazrat Saa'ad Bin Ubada رضي الله تعالي عنه Huzur ﷺ Ka Chehra E Anwar Dekhkar Bol Uthe Ke Ya Rasooallah ﷺ Kya Apka Ishara Humari Taraf hai ???
Khuda ki Kasam Hum wo Jaanisar Hai Ki Agar Aapka Huqm ho to Hum Samundar me Kood Pade...
Isi Trah Ansar ke Ek Aur Muazzaz Sardar Hazrate Muqdad Bin Aswad رضي الله تعالي عنه Ne Josh Bhare Andaz me Arz kiya Ya Rasooallah ﷺ Hum Hazrate Musa Aleyhissalam Ki Qoum Ki Trah ye Na Kahenge Ki Aap Aur Apka Khuda Jakar Lade Balki Hum wo log hai Jo Apke Dae-Bae Se Aage-Piche Se Ladenge...
Ansar ke In Dono Sardaro ki Takreer Sunkar Huzur ﷺ Ka Chehra Khushi Se Chamak Utha....
Madina se Ek Meel Door Chalkar Huzur ﷺ Ne Apne Lashkar ka Jaiza Liya Jo log Kum Umr the Unko Vapas Kar dene ka Huqm diya Kayonki Jung Ke Pur-Khatar Mouke par Bhala Baccho ka kya kaam ???
TO BE CONTINUED....
No comments:
Post a Comment