JUNG-E-BADR AUR NANHA SIPAHI....
Madina se Ek Meel Door Chalkar Huzur ﷺ Ne Apne Lashkar ka Jaiza Liya Jo log Kum Umr the Unko Vapas Kar dene ka Huqm diya Kayonki Jung Ke Pur-Khatar Mouke par Bhala Baccho ka kya kaam ??
Magar Inhi Baccho me Hazrate Saa'ad Bin Abi Waqqas رضي الله تعالي عنه Ke Chote Bhai Hazrate Umair Bin Abi Waqqas Bhi the Jab Unse Vapas Hone ko Kaha gaya To wo Tadap Uthe Aur Zor-Zor se Rone Lage Aur Kisi bhi Trah Vapas Hone ko Taiyyar Na hue...
Unki Bekarari Aur Giryazari Dekhkar Rehmate Aalam Huzur ﷺ Ka Qalbe Nazuk Muttasir ho Gaya Aur Apne Unko Sath Chalne ki Izazat de di Chunache Hazrat Saa'ad Bin Abi waqqas رضي الله تعالي عنه Ne is Nanhe Sipahi Ke Gale me Bhi ek Talwar Hamail Kar di...
Madina se Rawana Hone Ke Waqt Namaz ke Liye Hazrate Umme Maqtum رضي الله تعالي عنه Ko Aapne Masjide Nabawi Sharif ka Imaam Muqarrar Farma Diya Lekin Jab Khatra Mehsus Farmaya Isliye Apne Abu Lababa Bin Abdul Munzir رضي الله تعالي عنه Ko Madina Ka Haqim Muqarrar Farmakar Unko Madina Vapas Jane ka Huqm diya Aur Hazrate Aasim Bin Adi رضي الله تعالي عنه Ko Madine Ke Chadai Wale Ganw Par Nigrani Rakhne ka Huqm diya.....
☄In Intizamat Ke Baad Huzur ﷺ "BADR" Ki Janib Chal Pade Jidhar se Kuffare Makkah ke Aane ki Khabar thi Ab Kull Fouz Ki Tadad "313" Thi Jinme 60 Hazarat Muhajir Aur Baki Ansar the Manzil-Ba-Manzil Safar Farmate Hue Jab Aap Muqame Safra Me Pahuche to Do Aadmiyo Ko Jasusi Ke Liye Rawana Farmaya Taki wo Qafle Ka pata Chalae Ki Wo Kidhar hai Aur kaha tak Pahucha....
(ZURQANI, JILD- 1, SAFA-411)*
TO BE CONTINUE....
No comments:
Post a Comment