JUNG-E-BADR KA TAFSEELI BAYAN" PART:-05


*⚱JUNG-E-BADR AUR KUFFARE QURAISH BADR ME...*

☄Kuffare Quraish Chunki Musalmano se Pehle Badr me Pahuch Gae the Is liye Munasib Jagah par Unlogo ne Apna Kabza Jama liya tha Huzur ﷺ Jab Badr Ke Qareeb Pahoche To Shaam Ke Waqt Hazrate Ali, Hazrate Zubair, Hazrate  Saa'ad Bin Abi Waqqas رضي الله عنهم Ko Badr ki Taraf Bheja Taki Ye log Kuffare Quraish ke Bare me Khabar lae....

In Hazraat Ne Quraish ke 2 Gualamo ko Pakad liya Jo Lashkare Quraish Ke liye Pani Bharne Par Muqarrar the Huzur ﷺ Ne Un dono Gulamo se Daryaft Farmaya ki Batao Is Quraishi Fouz me Quraish ke Sardaro Me se Koun Koun Hai ???

☄To Dono Gulamo ne Bataya ki *Utba Bin Rbia, Sheba Bin Rbia, Abul Bakhtari Hakim Bin Hajam, Noufan Bin Khuwelad, Harish bin Aamir, Najar Bin-Ul-Harish, Jam'aa Bin Aswad, Abu Jahal,* Aur Bhi bhot se Sardar Moujud Hai...

Ye Baat Sunkar Huzur ﷺ Apne Sahaba Ki Taraf Mutawajjah Hue Aur Farmaya ki Sun lo...

MAKKAH NE APNE JIGAR KE TUKDO KO TUMHARI TARAF DAAL DIYA HAI"*
(Muslim Sharif, Jild-2, safa-102 Gazwa-E-Badr Zurqani Wagera)*

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites