JUNG-E-BADR KA TAFSEELI BAYAN" PART:-06.


*⚱TAAJDARE DO AALAM ﷺ  MEDAN-E-BADR ME....*

☄Huzur ﷺ  Ne Jab Badr Me Nuzool Farmaya To esi Jagah Padaw Dala Ki Jaha na koi Kuwa tha Na Chasma Aur Waha ki Zameen Itni Retili thi Ki Ghodo Ke pau Zameen Me Dhaste The ye Dekhkar Hazrate Hubaba Bin Munzir رضي الله تعالي عنه Ne Arz kiya Ya Rasooallah! ﷺ Ne Padaw Ke Liya Jis Zameen Ko Mukhatab Farmaya Hai Ye Wahi ki Roo Se Hai Ya Fouzi Tadbeer hai.???

Aapne Farmaya Ki Iske Bare me koi Wahi na Utri Hai Hazrate  Habbab Bin Munzir رضي الله تعالي عنه Ne Arz Kiya ki Meri Raay Me Jungi Tadbeer Ki Roo se Behter Ye hai ki Hum kuch Aage Badhkar Pani ke Chashmo Par Qabza Kar le....

☄Taki Kuffar Jin Kuwo par Qabiz hai Wo Bekar ho jae Kyonki Inhi Chashmo par se Un Kuwo me Pani Jata hai Huzur ﷺ Ne Unki Raay ko Pasand Farmaya Aur isi Par Amal kiya Gaya Khuda ki Shaan Ki Barish bhi ho gai Jisse Medan ki Dard aur Ret Jamm gai Jispar Musalmano ke liye chalna firna Aasan Ho gaya Aur Kuffar ki Zameen Par Kichad Ho gaya Jisse unko Chalne Firne Me Dushwari ho Gai Aur Musalmano ne Barish ka Pani Rok Kar Ja-Baja Houz Bana liya Taki ye Pani Gusl Aur Wuzu Ke kaam Aaye Isi Ehsan ko Allah ﷻ  Ne Quran Me is Trah Bayan Farmaya Ki..

*Tarjuma:-*
Aur Khuda Ne Aasman Se Pani Barsa Diya Taki Wo tum logo ko Paak Kare..
(Sureh Anfal)*

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites