FATEH MAKKAH"PART:- 08.


HAZRATE HATIB BIN ABI BALT'AA KA KHAT...*

Cont...

Huzur ﷺ Ne Hazrate Hatib رضی الله عنہ Ke Is Bayan Ko Sunkar Unke Uzr ko Qabool Farma Liya Magar Hazrate Umar رضی الله عنہ Us Khat ko Dekhkar Taish Me Aa gaye Ki Aahpe Se Bahar ho Gaye Aur Arz Kiya Ya Rasoolallah ﷺ ! Ijazat Dijiye Me Is Munafik ki Gardan Uda Du, Dusre Sahaba-E-Kiram bhi Gaiz-O-Gazab Me Aa Gaye..

Lekin Rehmate Do Aalam ﷺ Ke Jabine Rehmat Par Ek Zara Bhi Shikan Na Aayi Aur Aapne Hazrate Umar رضی الله عنہ Se Irshad Farmaya Ki Aye Umar ! Kya Tumhe Khabar Nahi Ki Hatib Ahle Badr Me se hai Aur Allah Taa'la ne Ahle Badr ko Mukhatab Karke Farmaya Hai ki *Tum Jo Chahe Karo Tumse Koi Muwakhaza Nahi* Ye Bat Sunkar Hazrate Umar رضی الله عنہ Ki Aankhe Numm Ho Gayi Aur Woh Ye Kehkar Bilkul Khamosh Ho Gaye Ki *ALLAH AUR USKE RASOOL KO SABSE ZYADA ILM HAI* Isi Mouke Par Qur'an Ki Yeh Ayat Nazil Huyi...

AYE IMAAN WALO MERE AUR APNE DUSHMAN KAFIRO KO DOST MAT BANAO..*
(SUREH MUMTAHINA)

Bahar Haal Huzur ﷺ Ne Hazrate Hatib Bin Abi Batl'aa رضی الله عنہ Ko Muaf Farma Diya...
(BUKHARI, JILD-02, SAFA-612, GAZWATUL FATEH)

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites