FATEH MAKKAH"*PART:- 09


*🏔MAKKAH PAR HAMLA...*

Garaz Ke 10 Ramzan Sann 8 Hijri Ko Rasoole Kareem ﷺ Madina Se 10,000 Ka Lashkar Pur-Anwaar Sath Lekar Makkah Ki Taraf Rawana Ho Gaye...

Ba'az Riwayato Me Hai Ki Fateh Makkah Me Apke Sath 12,000 Ka Lashkar Tha, In Dono Riwayato Ne Taa'ruj Nahi Ho Sakta Ki Madina Se Rawangi ke Waqt 10,000 Ka Lashkar Ho To Fir Raste Me Kuch Qabeele Is Lashkar Me Shamil Ho Gaye ho To Madina Se Chalte Waqt Huzur ﷺ Aur Tamam Sahaba-E-Qibar Rozadar The...

Jab Aap *Muqam-E-Qadeed* Me Pahuche To Pani Manga Aur Apni Sawari Par Bethtte Huwe Pure Lashkar Ko Dikhakar Aapne Din me Pani Nosh Farmaya Aur Sabko Roza Chor Dene ka Huqm Diya..

Chunache Aap Aur Apke Sahaba Se Safar Aur Jihad Me Hone ki Wajah se Roza Moquf Kar Diya..
(BUKHARI, JILD-02, SAFA-613)*
(ZURQANI, JILD-02, SAFA-300)*
(SEERAT-E-IBNE HISHAM, JILD-02, SAFA-400)*

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites