HAZRATE ABBAS WAGERAH SE MULAKAT...*
Jab Huzur ﷺ *Huzfa* Me Pahuche To Waha Huzur ﷺ Ke Chacha Hazrate Abbas رضی الله عنہ Apne Ahlo-Ayal Ke Sath Khidmate Aqdas Me Hazir Huwe Yeh Musalman Hokar Aaye The Balki Aap Junge Badr ke Bad Hi Musalman Ho Chuke the Aur Huzur ﷺ Ki Marzi Se Makkah me Muqeem The ..
Aur Hujjaz Ko Zam-Zam Pilane Ke Mua'zzaz Ohde Par Fayiz The Aur Apke Sath me Huzur ﷺ Ke Chacha Haris Bin Abdul Muttalib Ke Farzand Jinka Naam Bhi Abu Sufyan Tha Aur Huzur ﷺ Ke Fufizaad Bhai Abdullah Bin Abi Umaiyya Jo Ummul Momineen Hazrate Bibi Salma رضي الله تعالى عنها Ke Soutele Bhai Bhi The Bargahe Aqdas me Hazir Huwe..
Un Dono Sahibo Ki Hazri Ka Haal Jab Huzur ﷺ Ko Maloom Huwa To Aapne Un Dono Ki Mulakat se Inkar Farma Diya Kyunki Un Dono Ne Huzur ﷺ Ko Bhot Zyada Taklife Pahuchayi Thi Khususan Abu Sufyan Bin Haris Apke Chachazad Bhai Jo Elaan-E-Nabuwwat Se Pehle Apke Intehayi Ja'nisar Me se The Magar Elaan-E-Nabuwwat Ke Bad Unhone Apne Qasido Me Itni Sharmnaak Aur Behuda Burayi Huzur ﷺ Ki Kar Dali thi ki Apka Dil Zakhmi Ho Gaya tha Isi Kiye Aap ﷺ Un Dono Se Intehayi Naraz-W-Bezar The...
Magar Hazrate Bibi Salma رضي الله تعالى عنها Ne Un Dono Ka Kasoor Muaf Karne ke liye Bahut hi Purjosh Shifarish Ki Aur Abu Sufyan Bin Haris Ne Ye Keh Diya ki Agar Rasoolallah ! ﷺ Ne Mera Kasoor Muaf Na Farmaya To Me Apne Chote-Chote Baccho ko Lekar Arab Ke Registaan Me Chala Jaunga Taki Waha Bager Dana Pani Ke Bhook-Pyaas Se Tadap-Tadap Kar Me Aur Mere Bacche Markar Fanaah Ho Jaye...
Hazrate Bibi Salma رضي الله تعالى عنها Ne Bargahe Risalat Aab'dida Hokar Arz Kiya Ya Rasoolallah ﷺ Kya Apke Chacha Ka Beta Aur Apki Fufi Ka Beta Tamam Insano Se Zyada Bad'naseeb Rahega ?? Kya Un Dono Ko Apki Rehmat Se Koi Hissa Nahi Milega ?? Jaan Chidakne Wali Biwi Ne in Dard Karam Aur Afwo-Darguzar Ke Samundar Mouje Marne Lagi....
CONTINUE....
No comments:
Post a Comment