HAZRATE ABBAS WAGERAH SE MULAKAT...*
Continue...
Hazrate Ali رضی الله عنہ Ne Un Dono Ko Ye Mashwara Diya Ki Tum Dono Achanak Bargahe Risalat Me Samne Jakar Khade ho Jao Aur Jis Trah Hazrate Yusuf Aleyhissalam Ke Bhaiyo ne Kaha Tha Wahi Tum Dono bhi Kaho...
YAKEENAN APKO ALLAH TAA'LA NE HUM PAR FAZILAT DI HAI, AUR HUM BILA SHUBHA KHATAWAR HAI...*
(SUREH YUSUF)
Chunache Un Dono Sahibo ne Darbare Risalat me Nagha Hazir Hokar Yahi Kaha Ekdum Rehmate Do Aalam ﷺ Ki Jabine Rehmat Par Rehmo-Karam Ke Hazaro Sitare Chamakne Lage, Aur Aapne Unke Jawab Me *Bi'aynihi* Wahi Jhumla Apni Zuban Se Irshad Farmaya Jo Hazrate Yusuf Aleyhissalam Ne Apne Bhaiyo Ke Jawab Me Farmaya tha..
TUMSE KOI MUKHEZA NAHI HAI ALLAH TUMHE BAKSH DE WOH ARHAMURR RAHIMIN HAI...*
(SUREH YUSUF)
Jab Kasoor Muaf Ho Gaya to Abu Sufyan Bin Haris رضی الله عنہ Ne Tajdare Do Aalam ﷺ Ki Middah me Ash'aar Likhe Aur Zamana-E-Jahiliyat Ke Dour me Jo Kuch Aapki Hijro Me Likha tha Uski Ma'zirat Ki Aur Uske Bad Umr Bhar Nihayat Sacche Aur Sabit Qadam Musalman Rahe, Magar Haya Ki Wajah Se Rasoolallah ﷺ Ke Samne Kabhi Ser Nahi Uthate the Zyada Muhabbat Rakhte the Aur Farmaya Karte The Ki Muje Ummid hai Ki Abu Sufyan Bin Haris Mere Chacha Hazrat
Hamza رضی الله عنہ Ke Qaeem-Muqam Sabit Honge...
(Zurqani, Jild-02, Safa-301,302)*
(Seerat-E-Ibne Hisham, Jild-02, Safa-400)*
*⛰MEELO TAK AAG HI AAG..*
Makkah Se Ek Manzil Ke Fasle Par *Marujjharaan* Me Pahuchkar Islami Lashkar ne Padaw Daala Aur Huzur ﷺ Ne Fouz Ko Huqm Diya ki Har Mujahid Apna Alag-Alag Chulha Jalaye, 10,000 Mujahiddin Ne Jo Alag-Alag Chulhe Jalaye to *Marujjharan* Ke Pure Medaan Me Meelo Tak Aag Hi Aag Nazar Aane Lagi....
CONTINUE....
No comments:
Post a Comment