QURAISH KE JASOOS....*
⤵Continue..
Baharhaal Hazrate Abbas رضی الله عنہ Ki In Teeno Se Mulakat Ho Gayi Aur Abu Sufyan Ne Pucha Ki Aye Abbas ! Tum Kaha se Aa Rahe ho ?? Aur Ye Aag Kesi hai ?? Aapne Farmaya Ki Ye Rasoolallah ﷺ Ke Lashkar Ki Aag hai..
Hazrate Abbas رضی الله عنہ Ne Abu Sufyan Se Kaha ki Tum Mere Khacchar Par Piche Sawar Ho Jao Agar Musalmano ne Tumhe Dekh Liya To Abhi Tumko Qatl Kar Denge Jab Ye Log Lashkar Gaah me Pahuche To Hazrate Umar رضی الله عنہ Aur Dusre Kuch Musalman Pehra De Rahe the Abu Sufyan Ko Dekh Liya..
Hazrate Umar رضی الله عنہ Apne Jazba-E-Inteqam Ko Zabt Na Kar Sake Aur Abu Sufyan Ko Dekhte hi Unki Zaban Se Nikla ki *ARE YEH TO KHUDA KA DUSHMAN ABU SUFYAN HAI* Doudte Huwe Bargahe Risalat Me Pahuche Aur Arz Kiya..
Ya Rasoolallah ! ﷺ Abu Sufyan Hath Aa Gaya hai Agar Ijazat Ho to Abhi Uska Ser Uda du, Itne me Hazrate Abbas رضی الله عنہ Bhi Un Teeno Mushriko ko Sath-Sath Liye Huwe Darbare Rasool ﷺ Me Hazir ho Gaye Aur Un Logo ki Jan-Bazi ki Shifarish Pesh kar Di Aur Ye Kaha ki Ya Rasoolallah ﷺ Mene In Sabhi ko Amaan De di hai....
CONTINUE....
No comments:
Post a Comment