FATEH MAKKAH AUR ABU SUFYAN KA ISLAM....*
Abu Sufyan Bin Harab Ki Islam Ki Dushmanawat Koi Dhaki Chupi Nahi thi, Makkah Me Rasoole Kareem ﷺ Ko Sakht Se Sakht Izaye Deni, Madina Par Bar-Bar Hamla Karna, Qabeela-E-Arab Ki Ishte'aal Dilakar Huzur ﷺ Ke Qatl Ki Barha Sazishe, Yahoodiyo Aur Tamam Kuffare Arab Se Saaz-Baaz Karke Islam Aur Baani-E-Islam Ke Khatme ki Koshishe...
Ye Wahi Na'qabeele Muaf Log The Jo Pukar-Pukar Kar Keh Rahe the Ki Abu Sufyan Ka Qatl Bilkul Durrust W Jaiz Aur Bar'Mahal hai, Lekin Rasoole Kareem ﷺ Jinko Qur'an Ne *RAUF-O-RAHEEM* Ke Laqab Se Yaad Kiya hai Unki Rehmat Pukar-Pukarkar Abu Sufyan Ke Kaan me Keh Rahi Thi Aye Mujrim ! Mat Darr Ye Duniya Ke Salatin Ka Darbar Nahi Hai Balki Rehmatullilaalamin Ki Bargahe Rehmat hai Bukhari Sharif ki Riwayat to Yahi hai Ki Abu Sufyan Bargahe Aqdas me Hazir Huwe To Fouran Hi Islam Qabool Kar Liya Isi liye Jaan Bach Gayi...
(Bukhari, Jild-02, Safa-613)*
Magar Ek Riwayat Ye bhi hai Ki Haqim Bin Hijam Aur Bundel Bin Warqa Ne to Fouran Hi Islam Qabool Kar Liya Magar Abu Sufyan Ne Subha Kalma Padha...
(Zurqani, Jild-02, Safa-304)*
Aur Ba'az Riwayato Me Ye bhi Aaya hai Ke Abu Sufyan Huzur ﷺ Ke Darmiyan Ek Muqalma Huwa Uske Bad Abu Sufyan Ne Apne Islaam Ka Elaan Kiya Woh Muqalma Ye hai..
RASOOLALLAH ﷺ :-⤵*
Kyo Aye Abu Sufyan ! Kya Ab Bhi Tumhe Yakeen Na Aaya Ke Khuda Ek Hai ??
ABU SUFYAN :-⤵
Kyo Nahi ! Koi Aur Khuda Hota to Aaj Humare Kaam Aata Magar Fir Iske Bad Unhone Kalma Padh Liya Aur Us Waqt Wo Unka Imaan Mutazal'zal Tha Lekin Bad Me Bil'Aakhir Wo Sacche Musalman Ban Gaye Chunache Gazwa-E-Tayif Me Musalmano Ki Fouz Me Shamil Hokar Unhone Kuffar se Jung Ki Aur Isi Me Unki Ek Aankh Zakhmi Go Gayi Fir Jung-E-Yarmuk Me bhi Jihad Ke Liye Gaye...
(Seerat-E-Ibne Hisham, Jild-02, Safa-403)*
(Zurqani, Jild-02, Safa-313)*
CONTINUE....
No comments:
Post a Comment