FATEH MAKKAH AUR LASHKARE ISLAAM KA JAAH-O-ZALAL....*
Mujahiddin-E-Islam Ka Lashkar Jab Makkah Ki Taraf Aage Badha To Huzur ﷺ Ne Hazrate Abbas رضی الله عنہ Se Farmaya Ki Aap Abu Sufyan Ko Kisi Ese Maqaam Par Khada Kar De Ke Ye Afwaze Ilahi Ka Zalal Apni Aankho Se Dekh Le Chunache Jaha Rasta Kuch Tang Tha..
Ek Buland Jagah Par Hazrate Abbas رضی الله عنہ Ne Abu Sufyan Ko Khada Kar Diya, Thodi Der ke Bad Islami Samundar Moujo Ki Tarah Umadta Huwa Rawana Huwa Aur Qabeela-E-Arab Ki Fouje Hathiyar Se Sajh-Dhaj Kar Yake Bad Digare Abu Sufyan Ke Samne Se Guzarne Lagi...
Sabse Pehle Qabeela-E-Giraf Ka Baawkar Parcham Nazar Aaya, Abu Sufyan Ne Kaha Ki Muje Qabeela-E-Giraf se Kya Matlab ?? Fir Zuhaina,Fir Sa'ad Bin Huzaim, Fir Sulaim Ke Qabeele Ki Fouze Zark-Bark Hathiyaro Me Doobe Huwe Parcham Lehrate Huwe Aur Takbir ke Na're Marte Huwe Samne Se Nikal Gaye..
Abu Sufyan Har Fouz ka Jalal Dekhkar Puchte Jate the Ki Yeh Koun hai ?? Ye Kin Logo Ka Lashkar hai Iske Bad Ansaar Ka Lashkare Pur-Anwar Itni Ajeeb Shaan Aur Esi Nirali Aan-Baan Se Chala Ki Dekhne Walo Ke Dil Dehal Gaye Abu Sufyan Ne Is Fouz Ki Shaan-O-Shoqat se Hairan Hokar Kaha ki Aye Abbas ! Ye Koun Log hai ? AAPNE Farmaya ki Yeh Ansaar hai..
Nagha Ansar ke Alam-Bardar Hazrate Sa'ad Bin Ubada رضی الله عنہ Jhanda Liye Huwe Abu Sufyan Ke Qareeb Se Guzre Aur Jab Abu Sufyan Ko Dekha to Buland Aawaz Se Kaha ki Aye Abu Sufyan !
AAJ GHAMASAN KI JUNG KA DIL HAI, AAJ QA'BA ME KHOON'REZI HALAL KAR DI JAEGI....*
CONTINUE....
No comments:
Post a Comment