FATEH MAKKAH AUR LASHKARE ISLAAM KA JAAH-O-JALAL....*
⤵Continue..
Abu Sufyan Hazrate Sa'ad Bin Ubada رضی الله عنہ Ki Yeh Bat Sunkar Gabhra Gaye Aur Hazrate Abbas رضی الله عنہ Se Kaha ki Aye Abbas ! Sunlo Aaj Quraish Ki Halakt Tumhe Mubarak Ho Fir Abu Sufyan Ko Chain Nahi Aaya To Pucha ki Bahut Der ho Gayi Mene Huzur Muhammad ﷺ Ko Nahi Dekha Ki Woh Konse Lashkar me hai ??
Itne Me Huzur ﷺ Parchame Nabuwwat Ke Saye me Apne Noorani Lashkar Ke Hamrah Paigambarana Jaah-O-Jalal Ke Sath Namoodar Huwe Abu Sufyan ne Jab Sehanshaahe Qounen ﷺ Ko Dekha to Chillakar Kaha Ki Aye Huzur ! ﷺ Kya Aapne Suna ? Ki Sa'ad Bin Ubada Kya Kehte Huwe Gaye ?? Irshad Famaya ki Unhone kya kaha ??
Abu Sufyan Bole ki Unhone Ye Kaha ki Aaj Qa'ba Halal Kar Diya Jaega, Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Sa'ad Bin Ubada ne Galat Baat Kahi Aaj to Qa'ba ki Azmat ka Din hai Aaj To Qa'ba ko Libas Pehnane Ka Din hai Aur Huzur ﷺ Ne Farmaya ki Sa'ad Bin Ubada رضی الله عنہ Ne Itni Galat Baat kyo keh Di ? Apne Unke Hath se Jhanda Lekar Unke Bete Qais Bin Sa'ad رضی الله عنہ Ke Hath me De diya...
Aur Ek Riwayat me Hai Ki Abu Sufyan ne Bargahe Rasool ﷺ Me Ye Shikayat Ki Ke Ya Rasoolallah ﷺ ! Abhi-Abhi Sa'ad Bin Ubada Ye Kehte Huwe Gaye ki *AAJ GHAMASAN KI LADAYI KA DIN HAI* To Huzur ﷺ Ne Khafa Hone ka Izhar kiya Aur Irshad Farmaya ki Sa'ad Bin Ubada Ne Galat Kaha Balki Aye Abu Sufyan !
*🏟अल-यौमा यौमूल मर-हमह*
(Aaj Ka Din To Rehmat ka Din hai)
(ZURQANI, JILD-02, SAFA-306)*
Fir Fatihana Shaan-O-Shokat Ke Sath Baani-E-Qaba Ke Ja'nashin Huzur ﷺ Ne Makkah Ki Ser'zameen Me Nuzule Ijlal Farmaya Aur Huqm Diya ki Mera Jhanda *Maqam-E-Hazoon* Ke Pas Ghada Jaye, Aur Hazrate Khalid Bin Waleed رضی الله عنہ Ke Naam Farman Jari kiya Ki Woh Foujo Ke Sath Makkah Ke Balayi Hisse Ya'ni *Kudda* Ki Taraf Se Makkah me Dakhil ho..
(BUKHARI, JILD-02, SAFA-613)*
(ZURQANI, JILD-02, SAFA-304 SE 306)
CONTINUE...
No comments:
Post a Comment