FATEH MAKKAH PART:- 17.


FATEH MAKKAH KA PEHLA FARMAN...*

Tajdare Do Aalam Huzur ﷺ Ne Makkah ki Ser'Zameen Me Kadam Rakhte Hi Jo Pehla Farman Jari Kiya Woh Ye Elaan Tha ki Jiske Lafz-Lafz Me Rehmato Ka Dariya Mouje Maar Rahe Hai Aapne 3 Farman Jari kiye..

JO SAKSH HATHIYAR DAAL DEGA USKE LIYE AMAAN HAI...*

JO SAKSH APNA DARWAZA BAND KAR LEGA USKE LIYE AMAAN HAI...*

JO QA'BA ME DAKHIL HO JAEGA USKE LIYE AMAAN HAI...*

Is Mouke Par Hazrate Abbas رضی الله عنہ Ne Arz Kiya ki Ya Rasoolallah ﷺ ! Abu Sufyan Ek Fakhr Pasand Aadmi hai Uske Liye Koi Esi Imtiyazi Bat Farma Dijiye...

HUZUR ﷺ NE FARMAYA ! JO ABU SUFYAN KE GHAR ME DAKHIL HO JAYE USKE LIYE AMAAN HAI...*

Iske Bad Abu Sufyan Makkah Me Buland Aawaz Se Dakhil Huwa Aur Pukar-Pukar kar Elaan Karne Laga ki Aye Quraish ! Muhammad ﷺ Itna Bada Lashkar Lekar Aa Gaye hai ki Iska Mukabla Karne Ki Kisi me Taqat Nahi Jo Abu Sufyan Ke Ghar me Dakhil ho Jaye Uske liye Amaan hai, Abu Sufyan ki Zuban Se Ye Kum'himmati Ki Bat Sunkar Uski Biwi Hinda Binte Utba Jal-Bhunkar Kabab Ho Gayi Aur Josh Me aa gayi...

Aur Abu Sufyan ki Munch Pakad li Chillakar Kehne Lagi Ki Aye Bani Kinana ! Is Kambakht ko Qatl Kar Do Ye Kesi Buzdili Wali Bate Kar raha hai Hind ki Isi Cheekh-O-Pukar Ki Bate Sunkar Tamam Bani Kinana Ka Khandan Abu Sufyan Ke Aangan me Jama Ho Gaya Unko Abu Sufyan ne Saaf-Saaf Keh Diya Ki Is Waqt Gusse Aur Bato se Kuch Kaam Nahi Hone Wala Me Islami Lashkar ko Dekhkar Aaya hu...

Aur Me Tum Logo ko Yakeen Dilata hu Ki Ab Hum Muhammad ﷺ Ka Mukabla Nahi Kar Sakte Ye Khairiyat Hai ki Unhone Elaan Kar Diya hai Ki Jo Abu Sufyan Ke Ghar me Chala Jaye Uske Liye Amaan hai, Lihaza Zyada Se Zyada Log Mere Makan Me Aakar Panah Le lo, Abu Sufyan Se Khandan Walo Ne Kaha Ki Tere Makan Me Bhala Kitne Insan Aa Sakenge...

Unhe Abu Sufyan Ne Bataya ki Muhammad ﷺ Ne Un Logo ko Bhi Amaan De di hai Jo Apne Darwaze Band Kar Le, Ya Masjide Haram me Dakhil Ho Jaye Ya Fir Hathiyar Daal de, Abu Sufyan Ka Ye Bayan Sunkar Koi Abu Sufyan ke Makan Me Chala Gaya Koi Masjide Haram ki Taraf Bhaga Koi Apne Hathiyar Zameen Par Dalkar Wahi Khada ho Gaya...
(Zurqani, Jild-02, Safa-313)*

CONTINUE...

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites