FATEH MAKKAH KA PEHLA FARMAN...
Continue...
Huzur ﷺ Ke Is Elaan-E-Rehmat Nishan Yani Mukammal Aman-O-Amaan Ka Farman Jari Kar Dene ke Bad Ek Qatra Khoon Behne ka Koi Imkaan Nahi Tha Lekin Ikrama Bin Abu Jahal Aur Safwan Bin Umaiyya-W-Suhail Bin Amr W Jishan Bin Qais ne *Makam-E-Khandama* Me Mukhtalif Qabeele Ke Afrad ko Jama kiya Tha...
Un Logo ne Hazrate Khalid Bin Waleed رضی الله عنہ Ki Fouz Se Do Aadmi Hazrate Qurb Bin Jabir Fahri Aur Hubaish Bin Ash'ari رضي الله عتهما Ko Saheed Kar Diya Aur Islami Lashkar Par Teer Barsana Shuru Kar Diya...
Bukhari ki Riwayat me Inhi Do Hazraat Ki Sahadat ka Zikr hai Magar Zurqani Wagera Qitabo se Pata Chalta hai Ki 3 Sahaba-E-Kiram Ko Kuffare Quraish ne Qatl Kar Diya tha Jo Pehle Zikr Huwe Wo Aur Ek Hazrate Salma Binul Meena رضی الله عنہ Aur 12 ya 13 Kuffar bhi Maare Gaye Baki Sab Chorkar Bhaag Nikle..
(Bukhari, Jild-02, Safa-613)*
(Zurqani, Jild-02, Safa-310)*
Huzur ﷺ Ne Jab Dekha ke Talware Chamak Rahi Hai To Aapne Daryaft kiya Ki Mene Khalid Bin Waleed Ko Jung Karne se Mana Kar Diya Tha Fir Ye Talware Kesi Chal Rahi hai, Logo ne Arz Kiya Ki Pehel Kuffar Ki Taraf se Huyi Isliye Khalid Bin Waleed ki Fouz ke pas Ladne ke Alawa Aur Koi Charah Nahi Reh Gaya tha, Ye Sunkar Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki *Raza-E-Ilahi Yahi Thi* Aur Khuda Ne Jo Chaha Wahi Behtar hai...
(Zurqani, Jild-02, Safa-311)*
CONTINUE....
No comments:
Post a Comment