"FATEH MAKKAH"PART:- 19.


TAJDAR-E-DO AALAM HUZUR ﷺ KA MAKKAH ME DAKHILA...*

Huzur ﷺ Jab Fatihana Haisiyat Se Makkah Me Dakhil Hone Lage To Aap Apni Ountni *KUSWA* Par Sawar The Siyah(Black) Rang Ka Amama Bandhe Huwe The Aur Bukhari Me Hai Ke Apke Ser Par *Magfar* Tha..

Apke Ek Janib Hazrate Abu Bakr Siddiq رضی الله عنہ Aur Dusri Taraf Usaid Bin Huzair رضی الله عنہ The Aur Apke Charo Taraf Josh Se Bhara Huwa Lashkar Tha Jiske Darmiyan Qoukab-E-Nabawi Tha..

Is Shaan-O-Shoqat Ko Dekhkar Abu Sufyan Ne Hazrate Abbas رضی الله عنہ  Se Kaha ki *Aye Abbas Tumhara Bhatija to Badshah Ho Gaya Hai, Hazrate Abbas رضی الله عنہ Ne Jawab Diya ki Tera Bura Ho Aye Abu Sufyan ! Ye Badshahat Nahi Balke Nabuwwat Hai....*

Is Shahana Juloos Ke Jaah-O-Jalal Ke Ba'wajood Sehanshahe Risalat Ki Shaane Tawajo Ka Yeh Aalam Tha Ki Aap *Sureh Fatah* Ki Tialawat Farmate Huwe Is Tarah Ser Jhukaye Huwe Ountni Par Bethe the Ki Aapka Ser Ountni Ke Palan Se Lag Jata tha...

Aapki Kefiyate Tawajo Allah Taa'la Ka Shukr Ada Karne Aur Uski Bargahe Azmat Me Apne Izzo-Niyazmandi Ka Izhar Karne Ke Liye thi...

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites