"FATEH MAKKAH"*PART:- 20.


MAKKAH ME HUZUR ﷺ KI QAYAM GAAH...*

Bukhari Ki Riwayat Hai Ki Huzur ﷺ Fateh Makkah Ke Din Hazrate Ali رضی الله عنہ Ki Bahen Hazrat Umme Binte Abu Talib Ke Makan Par Tashrif Le Gaye Aur Waha Gusl Farmaya, Fir 8 Raq'at Namaze Chasht Padhi Woh Namaz Bahut hi Mukhtasar Tor par Ada Farmayi Lekin Ru'qu W Sajde Mukammal Tor Par Ada Farmate Rahe..
(Bukhari, Jild-02, Safa-615, Baab Manzilin Nabi Youmal Fateh)*

Ek Riwayat me Ye bhi Milta hai ki Aapne Hazrate Umme Haani رضي الله تعالى عنها Se Farmaya Ki Ghar me Kuch Khana hai ?? Unhone Arz Kiya Ki Ya Rasoolallah ﷺ Sukhi Roti Ke Kuch Tukde hai Aur Muje Badi Sharm Mehsoos Ho Rahi hai ki Use Aapke Samne Pesh Karu...

Irshad Farmaya ki *Lawo* Fir Apne Daste Mubarak Se Un Sukhi Rotiyo ko Toda Aur Pani Me Bhigokar Narm Kiya Aur Hazrate Umme Haani رضي الله تعالى عنها Ne Un Rotiyo ke Salan ke Liye Namak Pesh Kiya To Aapne Farmaya ki Koi Salan Ghar me Nahi hai ?? Unhone Arz Kiya Ki Mere Ghar me *Sirka* Ke Siwa Kuch Nahi hai...

Aapne Irshad Farmaya Ki *Sirqa* Lawo Aapne Sirqa ko Roti Par Dala Aur Khakar Allah Ka Shukr Ada Kiya Fir Farmaya ki *Sirqa Behtarin Salan hai Aur Jis Ghar me Sirqa Hoga Us Ghar Wale Mohtaj Na Honge..*

Fir Hazrate Umme Haani رضي الله تعالى عها Ne Arz Kiya ki Ya Rasoolallah ﷺ ! Mene Harish Bin Hisham(Abu Jahal ka Bhai) Aur Juhair Bin Umaiyya ko Amaan De di, Lekin Mere Bhai Hazrate Ali Un Dono ko Is Zurm Me Qatl Karna Chahte hai Ki Un Dono Ne Hazrate Khalid Bin Waleed رضی الله عنہ Fouj Se Jung Ki hai...

Huzur ﷺ Ne Farmaya ki Aye Umme Haani ! Jisko Tumne Amaan Di Usko Humari Taraf se bhi Amaan hai..
(Zurqani, Jild-02, Safa-326)*

CONTINUE....

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites