HADEES KE DUSHMAN ; 【Part~ 25】


Misal No-18

Sarkar-E-Azam Ki Ahadees Ka Agar Waqai Koi Dushman Hai To
Yahi Ghair Muqallideen (Naam ke Ahlehadees) Hain..

Namaze Jumu‘ah Aur Eidain (2 Eiden) Dihaat mein jayiz naheen Fiqahe
Hanafi Ka yeh Mas-alah imame Azam Abu Haneefah (علیہ اهلل رمحة (Ne
Ghar Se Bayan naheen Farmaya Balkih Kutub-e-Ahadees mein is Ki
Riwayat Mawjood Hai..

HADEES
*HAQ*✅
1- Hazrat Aishah Siddeeqah Farmati Hain, Bahar Ke Log Madeenah mein
Namaze Jumu‘ah Ke Liye Apni Manaazil (Gaon/Dihaat) Se Bari Bari Aate
*{Saheeh Bukhari, Jild-1, Safhah-123}*

2-Abu Abdur Rahman Bin Salma Hazrat Ali ؓ Se Riwayat Karte Hain,
Farmaya Hazrat Ali Ne Jumu‘ah Aur Tashriq (Eid) jayiz naheen Siwaye
Bade Shahr Ke
*{Musannaf ibne Abi Shaibah, Jild-2, Safhah-148}*

Pahli Riwayat To saheeh Bukhari Ki Hai Doosri Muhaddis ibne Abi
Shaibah Ki Jo ILME HADEES mein imam Bukhari Ke Dada Ustaz Hain
unki Musannaf mein Hai Isi Iiye Ulamae Ahnaaf Farmate Hain
Jumu‘ah Aur Eidain Dihaat mein jayiz Nahi..
Magar Ghair Muqallideen Ke Shaikhul Kul Miyan Nazeer Husain
Dihlavi Baani-E-Fiqah-E-Ahlehadees Farmate Hain!!


AHLEHADEES
*BATIL*❌
Jumu‘ah Har Jagah Farz Hai Khaah Shahr Ho Ya Gaon Aur Khaah
Bada Gaon Ho Ya Chhota Gaon
*{Fataawa Nazeeriyah, Jild-1, Safhah-577}*

“Uljha Hai Paon Yaar Ka Zulfe Daraaz Mein....
Lo Aap Apne Daam mein Sayyaad Aagaya.!!!

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites