*"HAJJ KA MUKAMMAL BAYAN PART 19 🕋*


MAKKA MUKARRAMA KI ZIYARAT GAAHE :-


🚍Masjid e Haram –


🚎Wo mubarak Masjid jis me Ka’aba shareef hai.

Aur jis me Maqaam e Ibraheem, Beer e Zamzam aur Kohe Safa wa Marwa hain......


🚍Wiladat-gaah e Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam:-


🚎Wo muqaddas mubarak makaan jaha Sarware kaainat Khairul bashar Khaatimul ambiya Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ki wilaadat (zahoor) hui thi.

Jo ab maktab (library) me tabdeel kar diya gaya hai.


🚍Jable Abu Qubais :-


🚎Dunya Ka sab se pehla aur muqaddas pahaad jaha par Hajre aswad naazil hua,

Jaha par jalwa afroz hokar Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne elane Nabuwwat kiya aur yahi par Shaqqul Qamar ya’ni chand ke 2 tukde farmaye the.


🚎Ab is pahaad par shaahi mahel taameer kar diya gaya hai....


🚍Maqaam e Me’araj :-


🚎Shabe Me’raj ko Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ko Hazrate Umme Haani radi-Allahu ta’ala anha ka makaan par aaram farma rahe the aur ALLAH ta’ala ke hukm se Hazrate Jibreil alaihis salaam aap ko Me’araj ke liye apne saath le gaye the.


🚎Ye ab Masjide Haraam ke Andar aa gaya hai.....

To Be Continued...

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites