🚍Masjid e Raayah :-
🚎Fateh Makka ke mauqe par Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne is maqaam par apna jhanda nasab kiya tha......
🚍Masjid e Ganam :-
🚎Is maqaam par fateh Makka ke baad Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne wafaadari ka halaf liya tha.
🚍Jable Noor :-
🚎Is pahad par Gaare Hira me Huzoor Nabi e aakhiruz zamaan sallallahu alaihi wa sallam zahoore risalat se pehle ek maah zikr o fiqr me mashgool rahe aur yaha pehli wahi naazil hui aur hidayate ilaahi ka noor saare aalam me faila.
🚍Jable Saur :-
🚎Is pahad par Gaare Saur me Huzoor Khaatimul Ambiya sallallahu alaihi wa sallam hijrat ke waqt apne rafeeqe khaas Hazrat Abu Bakr Siddeeq radi-Allahu ta’ala anhu ke saath 3 raat qayaam pazeer rahe.....
🚍Masjid e Khaif –
🚎Mina me jamrat ke qareeb is maqaam par Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ne Hajjatul wida ke mauqe par khaima banakar qayaam karke 5 waqt ki namaaz ada ki thi.
🚎70 Ambiya e kiraam ne yaha namaaz padhi hai aur 70 yaha madfoon hain...
🚍Masjid e Namrah –
🚎Arfat me Jable rehmat ke qareeb is maqam par Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Hajjatul wida ke mauqe par wuqoofe arfa kiya tha.
🚎Aur ashaba e kiraam ko khutba diya tha aur wasiyate, naseehate aur duaen ki thi aur Zohar aur asr ki Namaz ada ki thi....
To Be Continued...
No comments:
Post a Comment