*HAZRATE ALI K AQWAAL* *karramallahu wajhahul kariim* *➡Post-9*

🔻Ilm maal se behtar hai... Ilm teri hifaazat karta hai or... Maal ki too hifazat karta hai.

🔻Ilm haakem hai or maal mehkuum... Maal kharch karne se ghatta hai or Ilm kharch karnese badhta hai.

🔻Aalim wahi hai jo apne Ilm par amal bhi kare or apne amal ko apne Ilm k mutaabiq ( jaysa ) banaaye.

🔻Taqdeer bohot gehra samandar hai isme ghota ( dubki ) na lagao ( matlab taqdeer par zyada behes na karo na is topic par zyada socho ).

🔻Khush akhlaaqi ( achcha bartao ) behtarin dost hai or adab behtariin miraas ( warsa ) hai.

🔻Jaahilon ki dosti se bacho k bohot se aqalmandon ko jaahilon ne tabah kar diya..
      Jaahil...matlab wo k jo dini islami malumaat se or dini Ilm se mehroom hai....

...SUBHAANALLAAH

*📚KHUTBAATE MUHARRAM...*


No comments:

Post a Comment

Our Social Sites