*SHAANE AHLE BAIT...A* *➡Post-10*

🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...

      Mafhume Ahaadis...
🔻Aagaah ho jaao k Mere Ahlebait tum logon k liye kashtiye Nuuh...alayhissalaam...ki tarah hai...K...
      Jo isme sawaar huwa usne najaat payi...or jo isme sawaar hone se reh gaya wo halaak huwa.

🔻Mere sahaaba sitaaron ki tarah hai Inme se tum jiski bhi iqtida karoge ( piiche chaloge ) hidaayat paoge....

🔻Matlab ye k jo log Ahle bait ki kashti par sawaar nahi huwe jayse kharji ( aik firqa ) k unhone muhobbat ki bajay Ahle bait se dushmani ki to wo halaak ho gaye...
      Or raafzi k jo is kashti mein sawaar to huwe yani Ahlebait se muhabbat to ki magar hidaayat k sitaare matlab sahaaba se hidaayat haasil na ki bl k unki gustaakhi kii to kufr o zalalat k andheron mein kho gaye or apna iimaan tabah kar liya.
      Allah ka fazle aziim k usne ham Ahlesunnat wa jamaaat ko Ahle bait se bhi waabasta rakkha or sahaba k bataaye huwe raaste par bhi chalne ki tofiq ata farmayi...

...ALHAMDU LILLAAH...

*📚KHUTBAATE MUHARRAM...*



No comments:

Post a Comment

Our Social Sites