*☆IMAM HUSEN KI SHAHADT KI KHABR☆* *```▶Post-31```*

🔻Harate Abbaas ki zauja ( biwi ) farmati hai..k...Mene aik roz haazir ho kar Imaame Husen ko Aaqa ki godme diya...
     Mene dekha k Huzur ki aankhon se aansu baras rahe hai...Mene arz ki..Ya Rasulallah..Mere maa..baap Aap par qurbaan ye kya haal hai...?
     Irsad farmaya Mere paas Jibraiil..alayhissalaam...aaye or ye khabar de gaye k...Meri ummat Mere is farzand ( bete ) ko Shahiid kar degi...
    Ye sunkar Mene arz ki Ya Rasulallah...kya is farzand ko shahid kar degi..?...Farmaya...Haan.. Or  fir Jibriil Mere paas iski shahaadat gaah ( karbala ) ki laal mitti bhi laaye...

🔻Jibraiil ne Muje khabar di...k..Mere bete Husen ko Mere baad arde tef ( karbala ) mein qatal kiya jayega Or jibriil Mere paas wahaan ki ye mitti bhi laaye or Mujse kaha k...Ye Husen ki khwaabgaah ki mitti hai...Tef koofa k paas ki jaga ka naam hai jisko karbala kehte hain..

🔻Hazrate Anas farmate hai k...Baarish ka farishta Huzur ki baargaah me haazir huwa to us waqt Imaame Husen aaye or Aaqa ki godme beth gaye...To Aaqa unko chumne or pyaar karne lage...
      Us farishte ne pucha...Ya Rasulallah...Aap inse pyaar karte hain...?...Farmaya...Haan...To kehne laga..K...Aapki ummat Husen ko qatal kar degi...Agar Aap chaahein to mein inki qatal gaah ki mitti dikha dun..fir us fariste ne surkh ( laal ) mitti laa kar di...

🔻Us mitti ko Umme Salma ne apne kapde me le liya...Aaqa ne farmaya...Aey Umme Salma jab ye mitti khoon ho jaaye to samajhna k Mera beta shahiid kar diya gaya...

▪Umme Salma farmati hai....Mene us mitti ko shishi me band kar di..Or wo mitti Imaame Husen ki shahaadat k din khoon ho gayi...

     .......ALLAHUAKBAR.....
...sallallahu alayhi wasallam...
...radiyallahu taala anha....
...radiyallahu taala anh...

*📚MISHKAAT...*
*SAWAAE QUL MUHARREQA...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*




No comments:

Post a Comment

Our Social Sites