*☆SHAHADAT KI KHABR OR ILME GHAIB☆* *```▶Post-32```*

🔻Aik jang se waapas hote huwe Hazrate Ali karbala se guzar rahe the to theher gaye or us zamiin ka naam poocha to logon ne kaha k is zamiin ka naam karbala hai...
      Karbala ka naam sun kar Aap is qadar roye k zamiin aansuon se tar ho gayi...fir Aapne farmaya..k...
      Huzur ki khidmat me aik baar haazir huwa to dekha k Aap ro rahe hain....Mene arz ki Ya Rasulallah Aap kyun ro rahe hai...?
      Farmaya...Abhi jibriil aaye the or khabar de gaye k....Mera beta Husen dariya e furaat k kinaare us jaga shahiid kiya jayega jisko karbala kehte hai...

🔻Abu Naiim asbagh kehte hai k ham Hazrate Ali k saath karbala se guzre to Aapne ishaara kiya or farmaya....

 ★ Ye shahiidon k uunt bithane ki jagah hai...or...

★ Is jaga par un k kujawe ( uunt ki kaathi jispar do log bethte hai ) rakkhe jayenge...Or...

 ★ Yahan un k khoon bahaaye jaayenge...Aale Muhammed k bohot se jawaan is maidaan me shahiid kiye jayenge or un par zamiin O aasmaan royenge...

🔻In ahaadis se ye malum huwa k Imaame Husen ki shahaadat ki khabar Aaqa ko pehle se hi di gayi thi or...
      Huzur ne bhi baar baar iska zikar farmaya... Bachpan se hi mash-hoor ho gayi thi...Bl k shahiid hone ki jagah saamaan ki jagah sab kuch jaante the...

SUBHAANALLAH..ALLAHUAKBAR
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
▪KHULAASA...Huzur k Ilme ghaib ka inkaar karne waalon k liye is me ibrat hai k Hazrat Ali k ilm ko dekho...Jab in k ilm ka ye aalam hai to in k Aaqa Yani Huzur k ilm ka kya aalam hoga..

.....sallallahu alayhi wasallam...
.....Karramallahu wajhahul kariim...
.....radiyallahu taala anh...

*📚SAWAE QUL MUHARREQA...*
*AL KHASA ISUL KUBRA...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites