*IMAAM KI MAKKE SE RAWAANGI* *```▶Post-33```*

🔻Imaame Husen ki parwarish Aaqa ki aagoshe rehmat me madine me hui thi...Us waqt Roza e Anwar mein Aaqa ka kya haal huwa hoga iska tasawwur ahle muhabbat soch sakte hain...
      Aah ye din kitna ghamgiin tha..Seiyeda Faatema k laal ka sab kuch madine mein hai magar aaj wahi madina chhoot raha hai or wo bhi hamesha hamesha k liye...
      Aap alwada alwada kehte huwe Naana jaan ( hamare Aaqa ) k roze se waapas huwe or doobte dil k saath madine sharif par hasrat bhari aik nazar daali or makke sarif ki taraf rawaana ho gaye...Ye waaqeaa 4 shabaan 60 hijri ka hai...

🔻Jab Aap makke pohnche.....logon ko khabar hui....to diiwaana waar log Aapki mulaqaat k liye toot pade...
     Makke me Aap normally rahe na to yaziid k khilaaf kisi ko bhadkaaya na Apni himaayat k liye logon se kuch kaha na koi lashkari taaqat ki tiyaar kii...

🔻Koofa sheher aap k chaahne waalon ka mehbuub markaz tha Hazrat Ali k zamaane se... Wahan k log Amiir Muaawiya k dor se hi Imaame Husen ki khidmat me unko  bulaane ki koshish kar chuke the magar Aapne saaf inkaar kar diya tha.
       Jab koofa walon ko pata chala k Amiir Muaawiya ka intiqaal ho gaya or Imaam Husen ne yaziid ki bay-at ka inkaar kar diya to aik makaan me tamaam chaahne waale jamaa huwe or nakki huwa k Imaam ko khat ( letter ) likhein or un k dushmanon se ladkar unki madad karein...

🔻Sab is baat par jam gaye k imaame Husen k dushmanon se ladenge or unko dhoka na denge or apni jaanein qurbaan kar denge...

...Sallallahu alayhi wasallam
...Karramallahu wajhahul kariim
...Radiyallahu taala anh
...Radiyallahu taala anha

*📚TAARIKHE TIBRI....*
 *J..2...safa..176..*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*




No comments:

Post a Comment

Our Social Sites